Hyderabad: Hyderabad ki tahzeeb tezi se badal rahi hai aur noujawan nasal maazi ki riwayatoun ko chodh kar naye rujhanaat ko apna rahay hain jis ka wazeh asr hyderabad ki Hotels mein dekha ja raha hai. ek woh daur tha jab hyderabad ki Hotels mein noujawanoun aur buzurag logoun ka group chai ke sath bakery ke deccani ghizai ashya istemaal karta tha.
Ek dahe pehlay tak bhi hyderabad ki Hotels mein irani chai ke sath bakery ke deccani ghizai Ashiya jin mein maska bun, fine Biscuits , cream biscuits, tie Biscuits aur Osmania Biscuits kaafi shouq se khayi jati thi lekin ab yeh rujhan tezi ke sath badal raha hai kyunkay maazi mein jahan mukhtalif aqsam ki Biscuits aur irani chai hyderaabadi awam ki pehli pasand hua karti theen ab noujawan nasal ki pasand yeh ghizai ashiya nahi hain balkay noujawan nasal ab burger, pasteries aur is tarhan ki deegar nayi aur Asri ghizai ashya ko pasand kar rahi hain.
Vijay nagar colony ki ek Maroof hotel ke syed Aamir ney kaha ke kayi baras qabal hotel mein zarori ghizai ashiya ki fehrist mein maska ban, fine Biscuits sare fehrist hoti theen kyunkay subah ke auqaat log akhbarat ke mutalay ke sath chai aur biscuits khanay ka tarjeeh dete they aur gahakoun ki zaroorat ke mutabiq hotel mein biscuits ka stock pehlay se hi jama rehta tha lekin ab yeh rujhanaat tabdeel ho chukay hain.
Fateh darwaaza ki ek aur hotel ke maalik Nizam uddin ney kaha hai ke maazi mein hamari hotel mein mukhtalif aqsam ki biscuits ke alawa dil khush ka maqbool ghizai ashya ke tor par istemaal kya jata tha kyunkay maazi mein fine Biscuits aur dil khush chai ke sath awam ki pehli pasand hua karti theen lekin ab awam ki pasand badal chuki hai aur woh subah ke auqaat saag puri ko pehli pasand ke tor par paish kar rahay hain.
Golkonda ki ek hotel ke syed Irfan ney kaha hai ke maazi mein chai ke sath Biscuits pehli pasand hua karti thi lekin ab awam ki pasand badal chuki hai aur noujawan pizza, burger, sandwich aur donuts ka mutalba karte hain is ke alawa noujawan chai ke sath samosa khana pasand karte hain lehaza ab riwayati aur maazi ki biscuits ki maang khatam ho chuki hai.
Noujawanoun ke rujhanaat badalne ke bawajood shehar hyderabad mein kayi aisi mashhoor bakeries moujood hain jo kay abhi bhi maazi ki decanni biscuits ki tayari aur farahmi ka itminan bakhash intizam kar rakha hai lekin shayad anay walay chand barson mein un bakeries bhi apni tijarti tarjeehat ko badalne par majaboor hona pad sakta hai. –YTN STAFF