Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadHyderabad ke park mein awam ka hajhoom batadreej badhne laga

Hyderabad ke park mein awam ka hajhoom batadreej badhne laga

Coronavirus wabahe amraaz ki wajah se shehar ke parks, tafrehi maqamat guzashta ek saal se weraan thay lekin ab bara tareeq un maqamat par aur khaas tor par hafta ke eqteyad ayyaam ke douran ehle khanah aur bachon ki barri tadaad aana shuru ho gayi hai. Hyderabad metropolitan development authority (HMDA) Lumbini park, NTR garden aur Sanjeevaiah park ke zair e intizam parks mein is haftay ke aakhir mein bohat ziyada hajhoom tha .

HMDA ke mutabiq guzashta do mah ke douran parks mein awam ki tadaad batareeq badh rahi hai. Guzashta December mein Hussain Sagar ke aas paas ke teno parks mein awam ki tadaad 1. 83 lakh thi to yeh tadaad 3. 34 laakh tak pohanchi aur yeh coronavirus se pehlay ke awaami hajhoom ki taraf jarahi hai. Lumbini park, NTR garden aur Sanjeevaiah park mein osat ek din mein 3, 000 se 4, 000 awam indraaj kar rahay hain .

ALSO READ:-Medak ka church Christmas taqarib ke liye dulhan ki tarah sajadiya gaya

hakkaam ne kaha ke is itwaar ko aam tatilat ke muqablay awam ki tadaad ziyada thi. lockdown ke douran jo parks band rahay woh 26 September ko pabandi mein narmi ke baad shehar bhar ke awam ke liye dobarah khol diye gaye hain. taham ibtidayi tor par ekhtataam hafta se lutaf andoz honay walay afraad ki tadaad mein bhi koi khaas izafah nahi hua tha lekin rawan saal January ke baad se awam ki tadaad mein numaya izafah hua hai aur HMDA ane wale hafte mein sad feesad hajhoom ki tawaqqa kar raha hai. is ke alawa, mashhoor maqamat bshumar zoo park, Charminar aur Siripuram mein is haftay ke aakhir mein awam ki ek barri tadaad rahi.

yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke corona ki vaccine ki ijaad ne jahan awam mein Coronavirus ke khilaaf mojood virus ke khauf ko kam kiya to doosri janib telangana mein corona ke mareezon ki din ba din kam horahee tadaad ne bhi Hyderabad ki awam ke aetmaad ko bahal kiya hai jis ki wajah se bhi awaami aur tafrehi maqamat par hajhoom mein izafah dekha ja raha hai