Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadHyderabad ke liye peer aur mangal kaafi ahem din

Hyderabad ke liye peer aur mangal kaafi ahem din

Hyderabad: Hafta ki raat tak jari rehne wali shadeed barish ke baad tabahi ka ek marhala baqi honay ki pesh qiyaasi ki gayi hai halaank Hyderabad ke aam logoun ne itwaar ki subah dhoop aur taiz roshni ka faida uthaya lekin shehar ke kuch hisson mein waqfay waqfay se halki se halki barish ya garaj chamak ke sath barish hui hai. Haliya tofani baarisho ne Hyderabad ke kayi ilaqon ko jheelon aur talabon mein tabdeel kardiya hai aur ek andaza ke mutabiq 40 hazaar ke qareeb khandan is tabah kun barish se shadeed mutasir hue hain jinhein ab khanay peenay ke bhi lale padjuke hain.

Mehakma mosmiyat ke Hyderabad Unit ne peelay rang ka intibah jari karte hue kaha ke Telangana ke atraaf allag allag maqamat par halki aur garaj-o-jamag ke sath barish ka imkaan hai. Itwaar ko Sultanpura aur Ameenapur mein sab se ziyada 11.8 millimeter barish hui jabkay Shahpur Nagar mein 9 Millimeter barish hui. Barish ka saamna karne walay shehar ke deegar ilaqon mein Kokatpally, Qutubullahpur, Miyanpur aur Hider Nagar shaamil hain. Reyasti satah par zila Nirmal mein sab se ziyada 38 Millimeter barish Record hui hai.

Mehakma mosmiyat ne riyasat ke liye aglay 2 dinon khaas tor par 19 aur 20 October ko narangi intibah bhi jari kiya hai. Ohdedaron ke mutabiq riyasat ko baaz ilaqon mein ek baar phir mosla dhaar barish ka saamna karna padega. Is ki wajah yeh hai ke peer ko wasti khaleej Bengal mein ek kam dabao ka ilaqa ban-na shuru huwa. Yeh mangal tak mazeed mazboot ho sakta hai. Maghribi wasti khaleej Bengal mein janoobi Andhra Pradesh ke saahil se daur 5.8 kilometer ki satah ki bulandi tashkeel paaya lehaza janoobi Telangana ke azlaa mein khaas tour par peer aur mangal ko taiz se shadeed barish mutawaqqa hai.