Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaHyderabad ke IIT taalib-e-ilm ne hostel ki imarat se koodh kar khud...

Hyderabad ke IIT taalib-e-ilm ne hostel ki imarat se koodh kar khud kushi karli

Hyderabad : Indian institute of tecnology, Hyderabad ke ek 20 sala taalib-e-ilm ne mangal ke roz, Sangareddy zila ke kandi mein campus mein waqay hostel ki imarat se kood kar khud kushi karli.

computer science ke teesray saal ke taalib-e-ilm Siddharth Pichikala ne subah 3:30 bajey ke qareeb hostel ki imarat ki teesri manzil se chalang lagai. usay niji hospital le jayagya, jahan is ne dam todh diya. baad mein laash post mortem ke liye Gandhi Hospital muntaqil kardi gayi.

Hyderabad ke rehne walay sidharth ne khudkushi karne se qabal mubayyana tor par apne doston ko Email bheja tha. sidharth ke baare mein bataya ja raha hai ke woh mutliya mein peechay rehta hai aur career bananay mein nakamee se darta tha. police ne muqadma darj karkay tafteesh ka aaghaz kar diya hai.

Ittila ke mutabiq, rawan saal institute mein khud kushi ka ye teesra waqea hai. mah July mein, uttar pradesh ke master ke dosray saal ke taalib-e-ilm, 20 sala Mark Andrew Charles ne apne hostel ke kamray mein phansi leker khudkushi karli thi. unhon ne apne suicide note mein likha tha ke ”shayad inhen achay number nahi mil payenge aur yeh ke duniya mein nakamiyoun ka koi mustaqbil nahi hai. is ke alawa mah feb mein, teesray taalib-e-ilm, Anirudhya Mummaneni ne hostel ki imarat se chhalang laga kar apni zindagi ka khatema kar liya tha. –YTN STAFF