Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadHyderabad ke Hospitals mein Dengue ke mareezoun ka hujhoom, bunyadi sahulatoun ki...

Hyderabad ke Hospitals mein Dengue ke mareezoun ka hujhoom, bunyadi sahulatoun ki kami, bistaroun ki qillat

Hyderabad : Shehar mein un dinon Dengue, Malaria ki waba phaile hui hai aur un amraaz mein mubtala mareezoun mein roz bah roz izafah hota jaraha hai. aur Hyderabad ke Hospitals mein Dengue aur malaria se mutasir mareezon ka hujhoom laga hua hai, aur un Hospitals mein mareezoun ke liye bistaroun ki bhi qillat ho rahi hai.

Is qader Dengue se logoun ke mutasir honay ke bawajood bhi reyasti hukoomat yeh maan-ne se inkaar kar rahi hai. is ke alawa niji Hospitals ke intezamia ki janib se Dengue ke mareezoun ki tadaad bitanay se bhi inkaar kiya ja raha hai.

Hyderabad mein hukoomat ke zair-e-intizam tamam badey hospital, jin mein riyasat bhar se mareez atay hain, wahan bunyadi sahulatoun ki kami hai aur tibbi amlah mareezon ki bhaari tadaad se nimatnay ke liye na kaafi saabit ho raha hai. kuch Hospitals mein to ek bistar par do mareezon ko jaga di ja rahi hai. aur kuch mareezoun ko to farsh par ltakr ilaaj kiya ja raha hai.

Rawan mah ke douran riyasat mein Dengue ke 3000 se ziyada case darj hue hain. jabkay January ke baad se ab tak darj honay walay khissoun ki kal tadaad 4500 tak ho gayi hai. is ke alawa riyasat bhar mein ab tak Dengue se 56 amwaat ki ittila mili hai, magar hukoomat ka daawa hai ke sirf 1 shakhs Dengue se mare hai.

Dengue ke mamlaat mein taizi nay awam mein khauf wo haraas phela diya hai aur opposition jamatein medical emergency ka elaan karne ka hukoomat se mutalba kar rahi hain. Wazeer-e-sahet Eatala rajendar nay rawan haftay ke awail mein reyasti assembly ko bataya ke ”Mousami bukhaar mein se, 99 feesad case Viral bukhaar ke hain aur bukhaar ke ek feesad se bhi kam khisoun mein Dengue aur is tarhan ke bukhar ki Tashqees ki gayi hai.

Unhon nay riyasat mein medical Emergency ke elaan ke liye oppostion jamaaton ke mutalbe ko mustard kar diya. unhon nay is maamla par ghair zurori khatray ki ghanti paeda karne ka ilzaam lagaya. unhon nay kaha ke opposition ko logoun mein khauf paeda karne se guraiz karna chahiye. aur kaha ke opposition ko chahiye ke woh awam ko, is tarhan ke amraaz ke phelao ki wujohaat aur is se rok thaam ke tareeqay batatay hue, mousami bimarion ke phelao ki rok thaam mein hukoomat se taawun karen.

Wazeer-e-sahet nay kaha ke moujooda sorat-e-haal se nimatnay ke liye hukoomat nay mutadid iqdamaat kiye hain. unhon nay kaha ke doctoron ki chuttiyan mansookh kardi gayi hain. GHMC ki janib se bhi macharoun par qaboo panay ke liye iqdamaat kiye gay hain. aur hukkaam gharoun mein safai rakhnay ke liye awam ko aagah karne ki muhim chala rahay hain. –YTN STAFF