Hyderabad ke baazaaron mein chaar ghantay ki lockdown narmi ke douran sargarmia apne urooj par horahee hain jabkay itwaar aur paiir ke din yeh sargarmia mazeed ziyada hui kyunke jummay aur hafta ke din log Eid ki tatilat ke mood mein deekhaee day rahay the. Sabzion se le kar phalon tak machhli mandiyon se leker tamirati kamon ke maqamat par aur deegar tamam maqamat par logon ka be had hajhoom dekha gaya. Jummay aur hafta ke roz supre markets par hajhoom bohat hi kam tha lekin is ke baad baazaaron ke bahar apni kharidari karne ke liye qitaar mein kharray nazar aaye. kayi maqamat par haftay ke aakhir mein sabzi mandiyon mein bhi hajhoom dekhnay ko mila.
Paiir ki subah ashyae zarooria ke alawa deegar kamon ke liye apni manzil par jatay nazar aaye. Beshtar maqamat par logon ney mask aur chehray ki Shield pehnay hue rahay alawa azeen har maqam par mask nahi to farokht ke board chaspan hain. super markets aur hatta ke kirana stores par bhi in ka istaqbaal kiya gaya. Kyuke badi tadaad mein sarfeen qitaar mein khade dikahaye diye jis ke wajah se mutadid colonys ke dakhli rasteoon mein dukanain aam auqaat ke muqablay mein thori ziyada par hajhoom rehti hain.
ALSO READ:-Telangana ki awam kaafi zaheen, 4 ghante mein bohat kuch karliya
Itwar ke din chhootey chhootey hotels aur sadak ke kinare walay tiffin marakiz ke kaarobar mein taizi aayi jab logon ki barri tadaad narmi ke auqaat mein bahar nikalny ko tarjeeh day rahay hain. Agarchay electronic saaz o samaan ke showroom aur kapdo ke kuch dukanain khol di gayeen lekin ziyada tar sarfeen ko dukano par nahi dekha gaya . Sharaab ki dukano mein sharaab kharidnay ke liye qitaar mein khade logon ka hajhoom dekhnay ko mil raha hai aur is wabai amraaz ke douran jismani doori ke usool jo zaroori hain un mein se ziyada tar dukan par usay nazar andaaz kardiya gaya.