Wednesday, May 8, 2024
HomeLatest NewsHyderabad ke aasman par roshan mireekh, Nadir manazair ka mushahida karna aasaan

Hyderabad ke aasman par roshan mireekh, Nadir manazair ka mushahida karna aasaan

Hyderabad: Kayenaat ke maalik ne aasman par kayi aisay roshan setaray banaye hain jinhen dekhnay ke baad aqal dang reh jati hai aur kuch setaaray aur un se aasman par ban’nay walay nadir manazair se lutaf andoz hona insani fitrat hai yahi wajah hai chaand gehan aur Sooraj gehan ka duniya bhar mein mushahida karne walay afraad ke tadaad unginat hoti hai aur jab baat chaand, Sooraj aur zameen ke ilawa mireekh ya kisi dosray setaaray ka mushahida karne ki ho to awam mein tajassus aur dilchaspi mazeed badh jati hai aur is martaba Hyderabad ke aasman par roshan mireekh ka mushahida aindah kayi dinon tak kiya jasakay ga.

Falkiati nazron ko pasand karne walay afrada ke liye aindah chand mahino mein Hyderabad ke aasman mein raat ke auqaat mein sayaray mireekh ka nazarah karne ka ek bohat acha mauqa hai. Is waqt surkh sayarah apne roshan aur sab se baday maqam par mojood hai jis ka nazarah Hyderabad ke aasman par kiya jasakay ga kyun ke yeh sooraj ke isi simt zameen ke sath khada hai. Mahireen falkiat ke mutabiq koi bhi shakhs mireekh sayaray ke nadir manazair se mehroom nahi ho sakta kyunkay yeh Hyderabad mein raat ke auqaat mein aasman mein chamakdar setaray ki terhan dekhayega aur yeh nazarah January ke dosray haftay tak jari rahay ga.

Saal ke aakhir tak ghuroob aftaab ke baad koi bhi shakhs aasani se sayarah mireekh ka pata laga sakta hai. Yeh chamak utthayga aur surkhi mayel bhi nazar aaye ga. Jaisay jaisay din guzarte jayen ge mireekh aur zameen ke mabain faasla badhta jaye ga aur sayaray ki chamak kam hoti jaye gi.

NASA ke mutabiq yeh sayarah jab sooraj se barah-e-raast zameen ke mukhalif simt mein hota hai to mireekh ko dekhnay ke liye yeh between waqt hota hai. Yeh silsila 2 saal mein ek martaba hota hai. Sitaron ki is mukhalif simt mein mojoodgi ke douran mireekh aur zameen apne madaar mein ek dosray ke qareeb hotay hain. Is ka matlab hai ke mireekh apne sab se ziyada roshan tareen maqam par hota hai.