Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad mein waisay to kayi kutub khanaay moujood hain lekin chand barson se Hyderabad ke kutub khaanoun mein dakhli aur zahiri masail sangeen ho rahay hain jis mein sab se bada masla hukoomat Telangana ki janib se kutub khanah ke umoor ki takmeel ke liye fund ka jari karne ke bawajood malia ka waqt par dastyab na hona hai. yeh haqeeqat bhi zehan nasheen karni chahiye ke awam hukoomat ko jo tax ada karte hain is ka kuch hissa hai shehar ke kutub khaanoon ki nigahdasht par bhi sirf kiya jata hai aur yeh shehrion ka bunyadi haq hai ke inhen apne qareebi ilaqay mein behtar wasail se lais library dastyab ho .
Is haqeeqat se aksariyat waaqif nahi ke Granthalayam ke dafaa 1960 ke tehat awam jo properly Tax ada karte hain is mein har rupay ke 20 paesey library shobay ko ada kiye jany chahiye lekin 2014 se hukoomat properly tax mein library ka hissa mutaliqa shobay ko faraham karne mein nakaam hai. Telangana hukoomat ki janib se kutub khaanoon ko jo ruqumat ada ki jani chahiye is mein tasahl aur nakami ki wajah se is waqt shehar Hyderabad ki 83 libraries ko mahana sirf pandrah laakh rupay faraham kiye ja rahay hain, jis ki wajah se Libraries ke kayi mulazmeen ko guzashta chand mah se tankhwahein nahi di ja rahi hain. 2014 mein Telangana hukoomat ne Libraries ke liye paanch crore rupay Manzoor kiye they lekin Central library ke liye sirf 1. 13 laakh rupay hi masool hue .
Granthalayam ke secretary Padmajah ne Libraries ki sorat e haal par izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke hyderabad mein is waqt 83 kutub khanaay hain aur unki nighdasht ke liye mahana 15 laakh rupay faraham kiye jatay hain jo sirf kutub khaanoun ke bunyadi zaroriat jin mein paper, aabi Bill aur Barqi bill hi ada kiya jasakta hai jabkay kutub khanaay ki deegar ahem zaroriat ki takmeel ke liye 50 laakh rupay zayed akhrajaat bardasht kiye jatay hain. 2014 mein hukoomat-e-Telangana ki janib se Manzoor kiye jany walay 5 crore rupay par izhaar-e-khayaal karte hue unhoun ne kaha ke kaseer raqam ki manzoori ke bawajood shoba kutub khanaay ko sirf 11.3 laakh rupay hi Central Libraries ko haasil hue hain. Fund ki kami ki wajah se library ka rukh karne walay talba ko nasabi kutub bhi faraham nahi kiye jasakte hain kyunkay Telugu Academy ko bakayajat ki adaigi bhi nahi hui. City Center Library ke senior assistant sdhir ne Libraries ke masail par izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke kutub khanaay ka masla talba ko nasabi kutub faraham karne ya Telugu academy ko bakayajat ki adaigi tak mehdood nahi hain balkay mulazmeen ki tankhwahein ada karne mein bhi masail darpaish hain. yahan 42 out sourcing mulazmeen, 88 mustaqil mulazmeen aur 184 wazifa yab afraad ko fund ki Adam adaigi ki wajah se ruqumat ada nahi ki jarahay hain jabkay mulazmeen ki tankhwahein do ya teen mah mein sirf ek martaba ada ki jarahi hain. unhon ne mazeed kaha ke mulazmeen ko na sirf tankhwahon ki adaigi mein takheer ka saamna karna par raha hai balkay inhen sarkari mulazmeen ke tor par shanakht bhi nahi mil rahi hai jis se un mein har qisam ka ehsas kamtri bhi badh raha hai .
Fund ki Adam dasteyabi ki wajah se kutub khaanoon mein bunyadi Infrastructure kaafi takleef da hai kyunkay bill ki Adam adaigi ki wajah se peenay ka pani, barqi sarbarahi nah honay ke alawa kutub khanaay mein furniture bhi matlooba tadaad mein dastyab nahi hai. alawa azeen GHMC ki 54 emiratein kutub khaanoon ke liye faraham ki gayi hain lekin un mein deegar dafatir ko bhi shaamil kardiya gaya hai, jis mein khaas kar ke aik kamray mein kutub khanah to dosray kamray mein municipal office bhi mojood hoti hai, jis se nah sirf imarat tang damni ka shikwah karti hai balkay ek kamray mein municipal office ke umoor ki takmeel ke douran shor sharabe se dosray kamray mein kutub khanaay mein mutalea mein masroof awam ko shor sharabe se khalal peda hota hai .
Taleem Yafta samaaj kisi bhi mulk aur riyasat ki taraqqi mein bunyadi zaroorat samjha jata hai aur uloom ke husool ke liye awaami kutub khanaay ahmiyat ke haamil hotay hain lekin Hyderabad ke aksar kutub khanaay bunyadi masail ki sangeen sorat e haal se dochar hain lehaza hukoomat ko shehar-e-Hyderabad ki Libraries ke masail ko jald az jald hal karne ke liye inqalabi iqdamaat karne hunge . –YTN STAFF