Monday, September 16, 2024
HomeHyderabadHyderabad ke 69 feesad walidain apne bacho ko school bhejne ke haq...

Hyderabad ke 69 feesad walidain apne bacho ko school bhejne ke haq mein

Hyderabad: Riyasati hukoomat ne taqreeban 18 maah ke baad schools dubara khole hain aur lockdown ki pabandiyon mein narmi ki hai aur guzarte dino ke saath schools mein tulaba ki tetaad mein musalsil izafa ho raha hai. Ek survey mein bataya gaya hai ke Hyderabad 69 feesad walidain apne bacho ko school wapis bhejne par raazi hain. Add take ke naye survey se pata chala hai ke 59 feesad walidain ne mehsoos kiya hai ke unke bacho ko wabai amraz ki wajeh se seekhne mein kami ka saamna karna pada hai jabke Hyderabad ke taqreeban 69 feesad walidain apne bacho ko wapis school bhejne par raazi hain.

Walidain ka khayal hai ke school ka mukammil tajurba sirf dubara kholne se mumkin hain. Yeh survey 10500 metro aur non-metro walidain ke darmiyan kiya gaya jin ke bache class pehli taa 10wi jamaat mein zaire taleem hain. Survey mein yeh bhi bataya gaya ke 22 feesad walidain ke liye school ke amle ki vaccination awwaleen tarjeeh hai. Is ke alawa 55 feesad metro walidain ne samaji doori ko intehai ehum qaraar diya is ke baad sehat ki sahuliyat 54 feesad jabke gair metro shehron ke walidain ne kaha ke khail aur samaji doori yaksaa ehum hain.

Wabai amraz ke dauran bacho aur walidain ko darpaish challenge ke darmiyan woh ibtedai dino mein ghar se kaam aur ghar se school ke darmiyan pareshani ka shikar the. Wabai amraz ke dauran walidain ko jin challenge ka samna Karna pada uske ziman mein metro ilaaqe ke 47 feesad walidain ne kaha ke woh apne bacho ko schools mein rozana 3 ta 4 ghante guzarte hain jabke gair metro mein 44 feesad walidain ne bacho ke liye schools mein 3 ta 4 ghanton ko behtar qaraar diya hain.

Mazeed yeh ke is survey ke aadaad o shumaar ne ishara diya hai ke walidain ki aksariyat 63 feesad mehsoos karti hain ke jismani class room mein masroofiyat bahtar muashrati taamul ka bayis banti hain lead ke shareek baani aur CIO sumait Mehta ne kaha kam aamdani waale tabqe se taluq rakhne wale bacho ko data aur Cyber aalat ki adam dastiyabi ki wajeh se zyada se zyada seekhne ke nuqsan ka saamna Karna pada..hamara survey wazeh taur par zaahir karta hain ke Hyderabad ke 69 feesad walidain apne bacho ko school wapis bhejne ke liye haan kehte hain.