Sunday, April 20, 2025
HomeExclusiveHyderabad is waqt wabai bukhaar, Matli aur jismani kamzoree ki zad mein

Hyderabad is waqt wabai bukhaar, Matli aur jismani kamzoree ki zad mein

Pareshan awam ke liye kayi ek gharelon eelaaj mojood
Hyderabad: Dono judwan shehroun Hyderabad aur Secunderabad ke awam is waqt wabai bukhaar, Matli, Jismani kamzoree mein giraftar hain kyunkay 1 ya 2 din ke bukhaar ke baad inhen hafta aur 15 dinoun ke liye matli aur jismani kamzoree ki shikayat reh rahi hai. Is waqt saari duniya coronavirus ki wajah se jismani aur zehni tor par kaafi pareshan hai to doosri janib riyasat Telangana ka dar-ul-hukoomat Hyderabad aur is ka judwan shehar Secunderabad jis pareshani ka saamna kar raha hai wo ek ya do din ke bukhaar ke baad haftoun rehne wali jismani kamzoree aur matli ki shikayat hai aur un masail ne Hyderabadion ke gharoun ke mahol ko mutfakir kardiya hai. Matli aur jismani kamzoree ki shikayat ghar ke chhootay bachoun se leker buzurgoun tak ko hai.

Coronavirus ke masail ki wajah se Hyderabadion ko wabai bukhaar se kaafi pareshan halaat mein dekha ja raha hai halaank har muhallay ke Doctors ne awam ko mashwara diya hai ke wo har bukhaar aur khansi ko corona ke tanazur mein nah dekhen jis se ke zehni dabao mein izafah hoga. Is zimn mein izhaar khayaal karte hue Dr Saddam Sheikh ne kaha is waqt dono shehroun ke awam ko jo masla darpesh hai wo wabai bukhaar hai jo 1 ya 2 din mein kam to ho raha hai lekin is bukhaar ki wajah jismani kamzoree aur zabaan par Infection ki ek safaid teh jama horahee hai jis ki wajah se zayega mutasir honay ke ilawa matli ki shikayat horahee hai. Alawa azeen soonghnay ki salahiyat bhi mutasir horahee hai aur loog bo aur maza ka ehsas nah honay ki shikayat kar rahay hain.

Matli ki wajah se khana khanay ki aadaat mutasir horahee hain jo ke jismani kamzoree mein izafah kar rahi hain. Dr Saddam Sheikh ney awam ko sab se pehlay mashwara diya hai ke wo matli ki shikayat ke douran adwayat ka istemaal karne ke ilawa sabr ka muzahira karen aur jo ghiza pasand ho is ka istemaal karen sirf chand ek ghizao ka parhaiz karen jis ki Dr ney hidaayat di ho. Matli waqt ke sath khatam hojati hai.

Coronavirus Hyderabad

Neem ka Meswaak
Hyderabad ke mojooda halaat mein maaljin ney awam ko mashwara diya hai ke zabaan par Bacteria aur Infection ki wajah se jamnay wali safaid teh ko saaf karne ke liye Neem ki kadi se Meswaak karna sood mand hoga. Waisay Neem ke darjanoun faiday hain taham is waqt matli aur zabaan ke mutasir honay ki shikayat ke douran Neem ka Meswaak behtar amal ho sakta hai.

Doctoron ney mashwara diya hai ke panjgana namazoun ke douran Neem ka Meswaak karna behtar hoga jis se zabaan par jamnay wali Infection ki teh saaf honay ke ilawa matli ki shikayat aur mun ka zayega tabdeel honay ki shikayat se rahat melsakti hai.

Coronavirus Hyderabad

Adrak aur Shehad
Matli ke ilaaj mein adrak aur Shehad ka istemaal sadiiyoun qadeem gharelu nuskha hai. Mahireen sahet ne mashwara diya hai ke Hyderabad ke mojooda halaat mein shehad aur adrak ka istemaal bhi sood mand saabit ho sakta hai. Adrak ko mota mota kuchal kar is mein shehad mila kar nehaar mun ya hasb zaroorat istemaal karne se bhi matli se raahat mil sakti hai. Is ke ilawa Chaye ke shoqeen afraad ko Adrak ki Chaye ka bhi mashwara diya ja raha hai.

Coronavirus Hyderabad

Jismani kamzoree ki shikayat aur chehal qadmi

Hyderabady awam is waqt wabai bukhaar jo ke aik ya do din se ziyada kisi ko mutasir nahi kar raha hai lekin is bukhaar se sehat yabi ke bawajood loog haftoun tak jismani kamzoree ki shikayat kar rahay hain jis par sehat ke maahir Physio Ahmed Hussain ney mashwara diya hai ke chehal qadmi ko apni aadat banayen kyunkay bukhaar ki adwayat aur ghiza behtar istemaal nah karne ki wajah se jismani kamzoree ki shikayat horahee hai aur jism ko tawanai faraham karne mein ek zareya chehal qadmi hai. Bukhaar ke baad jismani kamzoree ki shikayat karte hue ghar mein ek jagah baithy rehne ki aadaat ko badalny par zor diya ja raha hai kyunkay ek jagah baithy rehne se mazeed kamzoree hogi.

Unhoun ne mazeed kaha hai ke subah ki chehal qadmi sab se behtar hai jo ke fajar ke baad ki ja sakti hai lekin agar koi fajar ke baad chehal qadmi nahi karsaktha to wo jis waqt bhi neend se bedaar hojaye chehal qadmi ko ikhtiyar kere. Chehal qadmi ke mutaliq Masjid Sidra Al-Muntanhi ke Imam Maulana Mohammad Asim Nishat ne kaha ke fajar ke baad ki chehal qadmi is waqt sab se behtar hai. Chehal qadmi ke liye qareebi maidan, Park ya Masajid ki parking ke maqamat bhi istemaal kiye jasakte hain. Agar aisi koi sahoolat dastyab nah hoto apne ghar ke sehan ya chhat par bhi chehal qadmi ki ja sakti hai.

Chehal qadmi agar 30 minute ki hoto ziyada behtar hai warna apni sahoolat ke mutabiq bhi chehal qadmi ki ja sakti hai lekin Maulana ne chehal qadmi ke waqt ek ahem mauzo ki taraf tavajja mabzol karwai hai ke 30 minute ki chehal qadmi ko 10,10, 10 minutes ke 3 hissoun mein taqseem kiya jaye aur pehlay 10 minute ki chehal qadmi mein Darood Shareef, Dosray 10 minute mein teesra kalma aur aakhri 10 minute mein Astaghfar padh len jis se chehal qadmi ke sath zikar Ellahi aur apne gunaaho par Astaghfar se umeed ki ja sakti hai ke waba aur corona dono masail se Allah Rab Ul Izzat hamein raahat naseeb kardey.