Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadHyderabad Hunooz Taiz Barish Ka Muntazir

Hyderabad Hunooz Taiz Barish Ka Muntazir

Hyderabad:  Shehar-e-Hyderabad mein guzashta chand dinoun se barish ka ek silsila jari hai aur waqfay waqfay se rim jhim rim jhim barish ho rahi hai lekin is ke bawajood Hyderabad mein shadeed barish nahi hui hai jo ke ek tashweesh ka baais hai.

Guzashta ek haftay se shehar-e-Hyderabad ka mausam abr alood hai aur waqfay waqfay se kahin halki aur kahin taiz barish ho rahi hai lekin is ke bawajood mehakma mosmiyat neh aitraaf kiya hai ke Hyderabad mein jis raftaar se barish honi chahiye thi is raftaar mein abhi bhi taizi nahi aayi hai.

Guzashta ek haftay se Hyderabad ka mausam bhi kaafi thanda hai aur ziyada se ziyada darjah hararat 27 degree Celsius hi record ki gayi hai. mehakma mosmiyat neh guzashta 5 dinoun ke mausam ke halaat ka tajzia karte hue jo tafseelaat faraham ki hain is ke mutabiq Hyderabad mein kahin halki aur kahin osat darjay ki barish hui hai lekin is ke bawajood Hyderabad mein monsoon ki shadeed barish abhi tak nahi hui hai.

India metrological department se jaari kardah tafseelaat mein Hyderabad ki barish ke adad wo shumaar jo zahir kiye gaye hain is ke mutabiq Hafeezpet mein sab se ziyada barish 12.8 mili meter record ki gayi hai jabkay Naredmet mein 2.5 millimeter barish record ki gayi hai jo ke Hyderabad mein kisi bhi ilaqay mein honay wali sab se kam barish hai.

Shehar-e-Hyderabad mein qutub ullah pur aur aisa ilaqa hai jahan shehar ki doosri behtar barish hui hai jis ka record 9.8 millimeters hai. osat darjay ki jo barish record ki gayi hai woh 3 taa 3.3 millimeter hai jo ke ke trimulgary , alwal aur jedimelta mein record ki gayi hai. Mehakma mosmiyat neh yeh bhi paish qiyaasi ki hai ke shehar-e-Hyderabad ka abr aaloda mausam aindah chand dinon tak barqarar rehsakta hai. –YTN STAFF