Sunday, April 20, 2025
HomeOthersHealthHyderabad dawakhanoun ke Bistar par pohanch gaya

Hyderabad dawakhanoun ke Bistar par pohanch gaya

Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad in dinoun wabai amraaz ki lapait mein aachuka hai aur har ghar mein taqreeban kisi nah kisi ko mamooli bukhaar rehne se lekar musalsal kayi dinon se bemaar rehne ki shikayat masool ho rahi hai.

Shehar-e-Hyderabad ke alawa riyasat Telangana ke deegar azlaa se bhi wabai amraaz ki khabrain tashweesh-naak hain aur aisa gumaan kiya ja raha hai ke Hyderabad aur riyasat-e-Telangana ke deegar azlaa dengue ki lapait mein buri tarha aachuke hain.

Sarkari tor par dengue se fout honay ki koi khabar nahi di gayi hai lekin media mein aisi khabrain aa rahi hain ke azlaa mein chand amwaat hui hain jin par dengue se mout honay ka khadsha zahir kiya ja raha hai.

Riyasat Telangana mein mah august mein 5500 dengue ke mamlaat darj kiye gay hain. riyasat Telangana ke 12 azlaa jis mein hyderabad bhi shaamil hain un tamam mein macharoon se phelnay wali bimarion ke khadshaat tashweesh-naak had tak zahir kiye jarahay hain jabkay Khammam zila sab se mutasir ilaqa record kiya gaya hai jahan guzashta chaar haftoun ke douran 800 se zayed dengue ke mamlaat darj kiye gay hain.

Shehar-e-hyderabad mein Niloufer Gandhi Hospital mein dengue ke kayi mamlaat darj kiye gay hain jabkay sirf Niloufer dwakhane mein taqreeban 500 dengue ke mamlaat darj kiye gay hain.

Hyderabad ke alawa surya pet mein 550, Nalgonda mein taqreeban 350, Warangal mein 350 ke alawa Jagtiyal, Medak,srisilla  Mancherial aur Kurnool ke alawa Nirmal mein dengue ke 180 taa 250 maamla darj kiye gay hain. is ke alawa riyasat-e-Telangana mein malaria ke 1000 se zayed maamla darj kiye gay hain jabkay shehar Hyderabad ki baat ki jaye to har ghar mein mamooli bukhaar se le kar guzashta chand dinon se musalsal bukhaar rehne ki shikayat masool horahee hai.

Malaria aur dengue ke alawa chicken guniya ke mamlaat bhi Hyderabad mein ziyada darj kiye jarahay hain halaanke chicken guniya mein bukhaar aur jodon ki takleef chand dinon mein kam horahee hai lekin iska asar itna bura ho raha hai ke ke jodon ki dard ki wajah se mareez 3-4 chaar haftay tak mukammal mamool ki zindagi guzaarne se qassar ho raha hai, kyunkay usay uthney aur baethnay mein intahi takleef ho rahi hai aur kamzori ki wajah se woh mamool ka kaam bhi anjaam nahi day pa raha hai. aisa nahi hai ke wabai amraaz sirf boodhay aur bachon ko apni lapait mein le rahay hain balkay un amraaz se khawateen aur noujawan bhi buri tarhan mutasir ho rahay hain.

Mehakma sahet aur doctoron ki janib se sarkari aur khangi dawakhanoun mein mareezon ke hujhoom par tashweesh ka izhaar karne ke alawa inhen mashwara diya ja raha hai ke woh mareezon ki behtar dekh bhaal ke alawa jo afraad sahet mand hain unki sahet ko barqarar rakhnay ke liye ahteyati tadabeer ikhtiyar karen aur macharoun ki afzaish ko roknay ke tamam iqdamaat karen aur khaas kar gharon ke atraaf mahol ko saaf karne ke alawa ganday paanion ko jama honay aur kachra jama honay na den.

Hyderabad aur riyasat-e-Telangana mein dengue ke mamlaat mein taizi se izafay aur chandah amwaat ke bawajood mehakma sahet ney ta haal dengue se amwaat ki koi sarkari tasdeeq nahi ki hai halaanke hyderabad, Siddipet aur deegar maqam par 3 amwaat ki media ney report di hai lekin mehakma sahet ke ohdedaron ney kaha hai ke tafseeli report haasil karne aur iska tajzia karne ke baad hain hi kisi nateejay par pohancha jayega. –YTN STAFF