Friday, April 26, 2024
HomeHyderabadHyderabad corona vaccine ki duniya ka dar-ul-hukoomat ban gaya

Hyderabad corona vaccine ki duniya ka dar-ul-hukoomat ban gaya

Hyderabad: Corona ki wajah se udasi ke aalam mein chhai hui hai lekin ek shoba jisne umeed ki kiran muhayya ki hai woh shoba jisne umeed ki kiran muhaiya ki hai wo shoba tibb hai aur is challenge ko ek mauqa ki shakal dainay mein hyderabad ne dawa saazi ki duniya mein ek aalmi qowat ki hesiyat se apni shanakht ko  mazboot kiya hai. Hindustan ke is janoobi shehar Hyderabad ko jo pehlay hi aalmi information technology manzil ke tor par pehchana jata hai is ne ab dawasazi aur biotechnology ke maidan mein apni salahiyat ko saabit kiya aur duniya mein vaccine dar-ul-hukoomat ban kar ubhra. pehlay se hi Hindustan ko badi tadaad mein dawasazi ke dar-ul-hukoomat ke tor par jana jata hai aur ab hyderabad mein zindagi ki baqa o ray covid ke ilaaj ke liye dawaiyon ki tayari ke tajarbaat kiye jarahay hain jaisay remesdevicr, Hydroxychlorquine aur Pfizer qabil-e-zikar hai.

Yahan ki kuch aala pharma companiyon ke zareya hyderabad aalmi vaccine ke maidan mein saf awwal mein shaamil hochuka hai. Is ke baad shehar mein covid vaccine tayyar karne ki bharpoor koshishen ki gayeen. dar haqeeqat Hyderabd covid vaccine ke liye mulk mein tehqeeq aur taraqiyati sar garmion ke liye markaz ke tor par ubhra hai aur is ne bain ul aqwami tawajah bhi haasil ki hai. aaj wabai amraaz ke liye malik mein tayyar ki jane wali taqreeban tamam vaccines mein hyderabad se rabita qaim hai. Hindustan mein covid vaccine tayyar karnay wali chay companiyon mein se chaar hyderabad mein mojood hain. is ke alawa telangana ka yeh sadar maqam hyderabad Wazeer-e-Azam Narinder Modi aur 60 se zayed mumalik ke safeeron ke gyanam vali mein Bharat biotech aur biological ki sahuliyaat ke haliya doroon ke sabab numaya raha.

Telangana ke wazeer-e-sanat KTR ka khayaal hai ke hyderabad ne duniya ke vaccine ke dar-ul-hukoomat ki hesiyat se apne muaqqaf ko mustahkam karliya hai. Unhon ne nishandahi ki ke hyderabad pehlay hi har saal do arab se zayed vaccine tayyar kar raha hai, jo aalmi satah par vaccine ki paidawar ka ek tahai hissa hai. Is mazboot maholiyati nizaam ke sath is shehar ne Hindustan ko dawaiyon ki tayari mein na sirf khud kafeel bananay mein ahem kirdaar ada kiya hai balkay usay duniya ke pharmacy dar-ul-hukoomat mein bhi tabdeel kardiya hai.

Yeh hindustani jumla Balk adwiyaat ka 40 feesad aur bulk adwiyat ki baraamdaat ka 50% hai. Sanat ke rehnumao ka khayaal hai ke hyderabad covid ke khilaaf duniya ko vaccine pailanay ki aalmi koshisho ka ek laazmi hissa hoga. Yahan tak ke agar shehar mein koi vaccine tayar nahin ki gayi hai tab bhi is shehar mein aalmi satah par vaccine saazi ki koshisho mein ek bohat bada kardarada karna padega.

Hyderabad mein Amrici FDA ki Manzoor shuda vaccine ki sab se badi sahuliyaat hain. un mein aalmi miyaar ke sath lakhoon khorakin tayyar karne ki gunjaish hai. KTR ne kaha Hindustan ka vaccine ka shoba poori duniya mein taqseem ke liye vaccine ki tayari mein ahem kirdaar ada karega.