Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadHyderabad Central University Mein Ek Aur Hiran Ki Mout

Hyderabad Central University Mein Ek Aur Hiran Ki Mout

Hyderabad : Hyderabad central University aaye din kisi na kisi khabar ki wajah se surkhiyoun mein rehti hai kabhi yeh university camps mein Dalit taalib-e- ilm ki mout to kabhi university ke camps mein cheetah ki moujoodgi se awaami tavajjo apni janib mabzol karwa layte hai. Hyderabad  central university ke campus se jo nai khabar manzar-e-aam par aayi hai woh ek hiran ki mout hai. Hyderabad  central university camps ke atraaf mein ki jungli janwar dikhayi dete hain jin mein khaas aur qabil zikar janwar hiran hai .

Hyderabad  central university ke camps mein ek hiran murda payi gayi jis ke jism par zakhamo ke gol nishaan moujood hain, yeh hiran university campus mein is ilaqay mein dekhi gayi jahan shooting range bhi moujood hai kyunkay hiran ki naash shooting range ke qareeb dastyab hui hai lehaza ibteda may yeh qiyaas kiya ja raha tha ke hiran ki mout goli lagnay se hui hai lekin post mortem ki report ke baad yeh wazeh sun hua ke hiran ki mout aawara kutton ke hamlay mein hui hai. wildlife department ke ohdedaron ney tafseelaat batatay hue kaha ke hiran ke jism par aawara kutton ke hamlay ke nishaan ke alawa khaardaar tar ki nishanaat bhi mojood hain jis se andaza lagaya ja sakta hai ke aawara kutton ke hamlay se khaufzadah honay ke baad shayad yeh khardaar taron se bhi takra gayi. jaan bachanay ki koshish mein hiran kaafi zakhmi hui aur woh khud ko bacha nahi saki .

Hyderabad  central university mein Hiran ki hadsati mout ki ek tareekh hai. 2016 mein police ney camps guard ke sath 2 afraad ko girftar kiya tha jo ke yahan nazar anay wali hiran ko halaak kar chuke they. university ke talba ke mutabiq 2016 ke ibtidayi 6 mah ke douran camps ke atraaf mein taqreeban 33 hiran ki mout waqay hui hai jin mein das hiran ki mout aawara kutton ke hamlon mein hui hai. Wild lense ke baani Ravi jalla pelli ney kaha hai ke Hyderabad  central university ke campus mein hiran ki abadi ko shadeed khatrah la-haq hai aur khaas kar yahan mojood aawara kutton ke jhund hiran par hamesha hamla karte hue inhen mout ke ghaat utaartay hain. university ke campus mein hiran ki hifazat ke liye mutalibaat kiye ja rahay hain aur mutaliqa hukkaam ki tavajja is janib baar baar mabzol karwai janay ke bawajood masail ki yaksoi nahi ho rahi hai. Hyderabad  central university ke campus mein aawara kutton ki wajah se talbaa, asaetzh aur deegar afraad ko jahan pehlay se hi khatrah mojood hai ab un ki mojoodgi jungli janwaron ke liye bhi sangeen khatrah ban chuki hai .