Hyderabad: Aalmi satah par junoobi Hindustan ke shehar Hyderabad ko ek tareekhi haisiyat haasil honay ke alawa moujooda daur mein Information Technology ke zamray mein bhi is shehar ko ek aalmi shanakht haasil hai yahi wajah hai ke muqami siyaho ke alawa berooni siyaho ki ek badi tadaad salana Hyderabad ka rukh karti hai lekin riyasat Telangana ki tashkeel ke baad berooni siyaho ki Hyderabad aamad aur tareekhi maqamat ki sair se lutf andoz honay ke adad wo shumaar kaafi hosla afzaai hain .
Telangana state Tourism development corporation ( TSTDC ) ki janib se jo adaad wo shumaar jari kiye gaye hain is mein wazeh hojata hai ke woh guzashta barson ke douran hyderabad ka rukh karne walay berooni siyaho ki tadaad mein taqreeban 13 feesad izafah hua hai. 2014 mein jis waqt riyasat-e-Telangana ki tashkeel hui thi is waqt berooni siyaho ki tadaad salana 75 hazaar 171 darj ki gayi thi lekin 2018 mein yeh tadaad 3.18 laakh hogi. 2014 ke baad se har saal hyderabad mein berooni siyaho ki aamad mein izafah hi hua hai jaisa ke 2015 mein 1.26 laakh berooni siyaho ne hyderabad ka rukh kya tha jabkay aglay saal yani 2016 mein berooni siyaho ki tadaad 1.66 laakh rahi isi tarha 2017 mein hyderabad ka rukh karne walay berooni siyaho ki tadaad 2.51 laakh rahi .
Adad wo shumaar zahir karte hain ke jo berooni sayah Hindustan ka safar karte hue shumal se junoob ke tareekhi shehron ka doura karte hain is mein un ki ek ahem aur mustaqil manzil Hyderabad hai kyunkay Hyderabad ki na sirf taqreeban 450 sala tareekhi ahmiyat hai balkay moujooda daur mein Hyderabad ne aalmi satah par zindagi ke liye aasaan shehron mein apna maqam banaya hai. mrsr quality of leaving ranking 2019 ki fehrist mein hyderabad ko mutawatar 5th martaba sab se behtareen shehar ka aizaz haasil hua hai. Ek janib zindagi ke liye sastay shehar ki shanakht aur doosri janib taqreeban 450 saal qadeem tareekhi wo tehzibi shanakht ne hyderabad ko aalmi satah par berooni siyaho ke liye pehli pasand bana diya hai .
Jo berooni siyah hyderabad ka rukh karte hain un mein aksariyat tareekhi maqamat charminar, Golconda, Qutub Shahi Gumbadan, Chowmahlla palace aur deegar maqamat ka ka doura karte hain. TSTDC ke managing director B Manohar ne kaha hai ke muqami aur berooni siyaho ki hyderabad ki sair ne reyastain tourism shobay ko na sirf mustahkam kiya hai balkay hyderabad mein mojood deegar tafrehi maqamat ko inqalabi satah par taraqqi dainay ki simt tavajja markooz karne ki hosla afzai bhi ki hai, yahi wajah hai ke mehakma ki janib se kayi ek ahem maqamat ki nishandahi karte hue inhen sayahati tarz par mazeed farogh dainay ki koshish ki jarahi hai jis mein khaas kar mausam-e-garma mein hyderabad ke aabi zakhair ko aabi sarbarahi ke alawa sayahati tarz par bhi farogh dainay ke project shuru kiye gaye hain .
Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke hyderabad mein do tareekhi aabi zakhair moujood hain jo Osman sagar aur Himayat sagar kehlate hain. Osman sagar ko khubsorat bananay ke liye 100 crore ka budget Manzoor kiya gaya hai. 1920 mein taameer kardah yeh aabi zakheera siyaho ke liye tafreeh ka ahem tareen maqam hai isi tarha 1928 mein taamer kardah Himayat sagar ki khubsurti ke liye bhi budget Manzoor kiya gaya hai aur anqareeb hyderabad ke aabi zakhair ki mukammal soorat badal di jaye gi . –YTN STAFF