Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadHyderabad Airport par musafereen aur Cargo tayyaroun ki aamad-o-waraft hunooz jari

Hyderabad Airport par musafereen aur Cargo tayyaroun ki aamad-o-waraft hunooz jari

Hyderabad: Coronavirus ki wajah se fazai safar aur is se mutaliq tamam tar sargarmia sard par chuki hain lekin Hyderabad mein bain ul aqwami Airport is waqt Corona ke khilaaf jari jung mein apni khidmaat faraham kar raha hai. GMR ki sarparasti mein Hyderabad International Airport qoum ki koshishoun ki himayat mein COVID-19 imdadi aur inkhala ki parwazein sambhaal raha hai. Air India ke zareya Hyderabad mein phansay huve German shehrioun ko nikaalte ke liye ek khusoosi imdadi parwaaz chalaye jarahi hai.

Parwaaz ke safar naame ke mutabiq, Khusoosi parwaaz I 3005, Ek Dreamliner (Boeing  B787-8 ) tayyarah mangal ke roz subah 7.32 bajey Chennai se Hyderabad bain ul aqwami Airport par utra . German Consulate aur Telangana reyasti hukoomat ke sath taawun mein, Hyderabad shehar ke mukhtalif maqamat se 38 musafiroun ( khawateen 19, خو Mard aur 2 sher khawar ) ka ek Group subah 6 bajey ke qareeb Airport pouncha. Un tamam musafiroun ko mukammal tor par Sanitizer aboori bain ul aqwami rawaangi Terminal ( IIDT ) ke zariye khidmat faraham ki gayi thi, Jisay inkhala ke iqdaam ke liye tayyar rakha gaya tha.

Is hungami zaroorat ko poora karne ke liye, GHIAL Terminal Operations, Air side Operations, AOCC ( Airport Operations and Control Center ), ATC ( Air Traffic Control ), CISF ( Central Industrial Security Force ), Immigration, Costume, Landside Security, Phansay huve musafiroun ki mehfooz aur baghair kisi rukawat ko yakeeni bananay ke liye Airline Ground Handlers, ARFF (Aircraft rescue and firefighting ) khidmaat, RAXA Security, Trolley Operators, House Keeping hamla dastyab tha.

Corona ke khatray se bachney ke liye parwaaz ke Handling ke douran khusoosi Screening aur hifazati iqdamaat mojood they, Jis mein Terminal dakhlay se qabal Thermal Screening, Tamam musafiroun ki Processing Points par khusoosi qataar mein intizam ke zareya laazmi masharti faasla nafiz karna shaamil hai. Hyderabad se anay walay musafiroun ko chand pehlay se baithy German shehrioun ney hawai jahaaz mein shaamil kiya tha, Jinhoun ney Chennai se parwaaz ki thi. Air India ki khusoosi imdadi parwaaz subah 9.22 bajey Hyderabad se Mumbai rawana huvi. Parwaaz ke safar ke mutabiq, Mumbai se tamam German shehrioun ko Germany mein Frankfort rawana kiya gaya. Air India ney phansay huve German shehrioun ko Chennai, Hyderabad aur Mumbai se Frankfort le janey ke liye ye imdadi parwaaz chalaye.

March 28 ko RGIA ney Hyderabad mein phansay huve apne amlay ko nikaalte ke Mission par Indogo ki ek aur khusoosi Rescue parwaaz ki khidmaat faraham ki thi. Mumbai se Indigo ki parwaaz E9999, khusoosi Medical inkhilah ki parwaaz 28 March ke waqt taqreeban dhai bajey RGI par utri, Baad azan apne 8 amlay ke sath ye RGIA se shaam ke qareeb 3.15 bajey Indigo ku ke amlay ke 5 arkaan ke sath Chennai rawana hogayi.

Tamam amlah, Jinhoun ney RGIA se safar shuru kiya un ki COVID-19 ke tareeqakar ke mutabiq Screening ki gayi aur hidayat naame ke mutabiq un ki maloomat ko Telangana State Health Department ko faraham kardiya gaya. Zurori samaan ki aamad waraft ko barqarar rakhnay ke liye RGIA ka Cargo Terminal bhi mukammal tor par apni khidmaat faraham kar raha hai. Cargo Costum, Ground Handlers, CHA ( Custom House Agent ), Regulators’, State Police, Cargo Trade Association ke sath qareebi hum ahangi ke sath 24 ghantay kaam kar raha hai taakay zurori samaan ki aamad waraft ko barqarar rakha jasakay. Ek Press Release ke mutabiq, Duwaein, Vaccine, Tibbi samaan, Pharma khaam maal, Difai samaan, Bank se mutaliq ashya aur deegar saz-o-samaan ki muntaqili jari hai. –YTN STAFF