Insidaad bud unwani Bureau ( ACB ) ne mangal ke rooz zay shehar Hyderabad mein ek Real Estate Developer ke daftar se ESI ke sabiq Director Devika Rani aur pharmacist Naga lakshmi rupay ki naqdi raqam zabt karli.
Talashi ke douran tafteeshi Agency ne yakam September ko Hyderabad mein ek realtor se 4.4 crore rupay ki raqam zabt karli. Mutadid afraad ke mutabiq, Hyderabad ke maghribi raahdaari mein 6 rehaishi Flat aur taqreeban 15000 murabba feet Commercial jagah kharid ne ke iraday se sarkari mulazim ( moattal ) Devika Rani ne ek Realtor ko 3.75 crore rupay aur 22 lakh rupay ki pesh ki adaigi. Bena Benamidar’s ke nam par.
Tafteeshi agency ne ek aur mulzim officer Naga Laxmi ESI mein Pharmacist ( moattal ) ne 72 lakh rupay ada kiye, Aur mukhtalif wasail ke zariye Check aur online transfer ke zariye mazeed 2.29 crore rupay ada kiye gaye they.
Wazeh rahay ke, Insurance medical services ( IMS ) mein khidmaat injaam dainay walay teen doctoron sameit mutadid sarkari ohdedaron ko ek mobayyana multi crore khutala mein giraftar kiya gaya tha.
Devika Rani par ohdedaron ke sath mili bhagat karne ka ilzaam hai, Unhoun ne jaali rasiden, Jaali Bill / dawaon aur deegar tibbi samaan ki kharidari ke Record tayyar kiye gaye they aur sarkari khazanay ko 11.69 crore crores rupay ka dhoka diya. Is ghotale mein mulawis honay ke ilzaam mein deegar pharmacy company ke Directors ko bhi giraftar kiya gaya tha.
Yeh khotala haal hi mein riyasat ke ESI Hospitals ke liye IMS ki taraf se ki jaaney wali kharidari ki nigrani ki tehqiqaat ke baad samnay aaya tha, Jahan aisi dawai mili theen jin ki koi zaroorat nahi thi aur kuch companiyon ke haq mein kharidari bhi ki gayi thi aur baqaidagi se istemaal honay wali dawai nisbatan ziyada qeemat par khridi gayi thi, Inquiry afsaraan ko is baat ka bhi inkishaaf huwa ke aisi tamam companian jo is terhan se ESI ko duwaein mohiya karti thi wo Devika Rani ke qareebi rishta daar aur un ke be nami afraad ki malkiat the.
Reyasti hukoomat ney ACB Hyderabad ko Inquiry ke nataij ki chhaan bain karne ka hukum day diya tha, ACB ney muqadma darj karkay inquiry shuru kar di aur do mahino ke tafteesh ke baad ACB ki team harkat mein aagai.
Agarchay nigrani ki Report mein Devika Rani aur deegar mulzimaan mein taqreeban 300 crore rupay ki raqam ghosai jaane ki tajweez pesh ki hai, Lekin ACB ki ibtidayi tafteesh mein pata chala ke yeh nuqsaan 10 crore rupay ke qareeb hai aur yakam September ko ACB ney mazeed 4 Crore naqad raqam zabt karli hai.