Friday, March 29, 2024
HomeIndiaHukumath ke pass oxygen aur insaaniyat dono ki khilat

Hukumath ke pass oxygen aur insaaniyat dono ki khilat

Congress ke sabiq saddar Rahul gandhi aur priyanka gandhi ne kaha hai ke corona ki doosri lehar mein oxygen aur insaaniyat ki kami ki wajah se jis terhan se barri tadaad mein awam ki mout hui hai woh aik bara jurm hai. aur is ke liye zimma daaron ke khilaaf fouj daari karwai ki jani chahiye

Rahul gandhi naay aik tweet karte hue kaha BJP hukoomat mein oxygen aur insaaniyat dono ki shadeed qillat hai. is khofnaak jurm ke zimma daraan ke khilaaf fori karwai honi chahiye. dukh ke is mahol mein marnay walon ke lawahiqeen se meri hamdardi . prinka ne qabrustanon o shamshaan ghaton air covid  se honay wali amwaat ke sarkari adaad o shumaar ke mabain farq par sawal uthatay hue kaha k covid  ki wajah se huien amwaat ke baray mein hukoomat ke adaad o shumaar aur shamshano ,qabrustanon ke adaad o shumaar mein itna farq kyun? moodi hukoomat ne adaad o shumar ko baydaari phelanay aurcovid  virus ke philav? ko roknay ka zareya bananay ki bajaye propeganda karne ka zareya kyun banadiya?

ALSO READ:-Coronavirus teesri Lehaer Sena Mitne ke liye kya Hukumat tayar hai?

Aik deegar tweet  mein unhon ne apni zimma daar kon muhim ke tehat hukoomat ke mutazaad bayanaat ka hawala diya. Wazeer e Azam mein ne oxygen ki kami nahi honay di. cheif mnstr : oxygen ki koi kami nahi. qillat ki afwahen phelanay walon ki jaidaad zabt ho gi vazir marizon  ko zaroorat ke mutabiq oxygen den. ziyada oxygen nah den. agrah hospital : oxygen khatam thi. 22 mareezon ki oxygen band karkay mukkar ki. Zimmdar kon diya rahe? yadrhe ke is waqt hindostan mein corona ki doosri lehar ki wajah se halaat intahi batar hone ke baad awam masail ke aik silsila se pareshan hai jis mein sab ziyada sangeen soorat e haal dawakhano  mein zair e ilaaj mareezon ko oxygen ki Adam dasteyabi hai.