New Delhi : Pyaz ki badhti hui qeematoun par qaboo panay ke liye hukoomat, turkey se 11000 tonnes pyaaz ki Dar-aamad kar rahi hai.
Itwaar ke roz sarkaari zaraye ne bataya ke MMTC ne iske liye Dar-aamdi order per dastakhat kardiye hain aur piyaz ki ye khaip decemeber ke aakhir ya January ke pehlay haftay tak mulk mein poahnch jayegi. zaraye ke mutabiq, MMTC, Turkey sameit mukhtalif mumalik se pyaaz ki Dar-aamad ka intizam kar rahi hai.
MMTC ne isse qabal misar se 6,900 tonnes pyaaz ki Dar-aamdi muahiday par dastakhat kiye they, aur tawaqqa ki ja rahi hai ke aglay 10 din mein yeh khaip yahan pohanchegi, is ke baad qeematoun mein kami anay ka imkaan hai. market zaraye ke mutabiq itwaar ke roz Dehli NCR mein pyaaz ki qeemat 80-120 fee kilo thi.
Azadpur wholesale market APMC ki fehrist ke mutabiq, 20 se 62.50 rupaye fee kilo ke darmiyan thi, jabkay pyaaz ki aamad 828 tonnes thi. 20 November ko markazi kabeena ne 1.2 laakh tonnes pyaaz ki Dar-aamad ki manzoori di thi.
Wazeer-e-dakhla Amit Shah ki sir-barahi mein, pyaaz ki qeematoun par nazar rakhnay ke liye wazeer-e-khazana, sarfeen umoor, zaraat aur satah ke tansport wazraa par mushtamil ek committee tashkeel di gayi hai.
Is saal pyaaz ki paedawar karne wali reyaston mein monsoon ke aakhir mein barish ki wajah se fasal ko nuqsan pohancha, jis se pyaaz ki supply mein dikat paeda hogayi. aur qeematein aasman ko chune lagen. –YTN STAFF