Friday, May 17, 2024
HomeIndiaHukoomat ki nakamiyoun ko ujagar karne ki wajah se Chidambaram ko banaya...

Hukoomat ki nakamiyoun ko ujagar karne ki wajah se Chidambaram ko banaya ja raha hai shikaar : Priyanka Gandhi

New Delhi : Congress ki general secretary Priyanka Gandhi  Vadra ne chaharshambe ko sabiq wazeer-e-khazana P.Chidambaram ki himayat mein kaha ke woh markazi hukoomat ki nakamiyoun ko ujagar karne ke liye ”sharamnak shikar banaya jaraha hai. Dehli high court ki janib se INX media maamla mein sabiq wazeer ki paishgi zamanat ki darkhwast ko mustard karne ke ek din baad Priyanka Gandhi  ne Chidambaram ko Rajya sabha ka ek intahi qabil rukan qarar diya, aur kaha ke party –apne qaied ke sath khadi hai aur ”is ke liye jaddo jehed jari rakhaygi.

Unhon ne tweet kiya ke wo sach boltay hain aur hukoomat ki nakamiyoun ko bey niqaab karte hain, lekin sachaai se buzz diloun ko takleef ho rahi hai, is liye inhen sharamnaak tareeqa se shikaar banaya ja raha hai.

INX media case 2007 mein, jab Chidambaram markazi wazeer khazana the, ghair mulki sarmaya kaari promotion board ( FIPB ) ne media group ko 300 crore rupaye se zayed ke beron mulk funds wusool karne ki manzoori di gayi thi. sabiq wazeer-e-dakhla aur wazeer-e-khazana, P Chidambaram ne qaumi salamti ke muashi umoor par markaz mein BJP ko nishana banaya tha. –YTN STAFF