New Dehli: Supreme Court se, INX media ya case mein sabiq wazeer khazana P.Chidambaram ki zamanat milnay ke ek din baad, Congress ke rehnuma Chidambaram ne congress party ke daftar mein press Conference munaqqid ki, Aur Narendra Modi hukoomat ko tanqeed ka nishana banaya. Unhoun ne mulk mein muashi sust rawi ke liye markazi hukoomat par hamla karte hue kaha ke wh is maslay ki tashkhez karne se qassar hain aur hukoomat ke paas is ka koi hal nahi hai. Unhoun ne kaha ke ”markazi hukoomat mojooda kasaad bazari ko ”Chakriya“ keh rahi hai, Shukar hai ke unhoun ne usay ”Musami“ nahi kaha.
Unhoun ne kaha ke congress ki zair qayadat United Progressive Alliance ( UPA ) ne 2004 se 2014 ke darmain 140 million afraad ko gurbat se nikala, BJP. Ki zair qayadat National Democratic Alliance ( NDA ) ne 2016 se lakhoon afraad ko gurbat ki lakeer se neechay dhakil daya hai“.
Unhoun ne kaha ke GDP. Mein musalsal kami aa rahi hai. GDP. 8 se 7, aur 7 se 6. 6, 6. 6 se 5. 8 aur 5. 8 se 5 aur 5 se gir kar GDP. 4. 5 par aagai hai. Ye hukoomat ke achay din hain. Unhoun ne hukoomat par sakht tanqeed karte hue kaha ke agar hum saal ke aakhir taq GDP. 5 feesad ko choolen to hum khush qismat honge.
Sabiq wazeer-e-khazana ne mazeed kaha ke wazeer-e-aazam maeeshat par ghair mamooli tor par khamosh hain aur –apne wazraa par chode diya hai ke wo awam ko jhansa den. Hukoomat mashiet ki na ahal manager ban gayi hai“. Unhoun ne kaha ke agar is bemari ki nishandahi nahi ki gayi to ilaaj bhi ghalat hoga. Sahih ilaaj ke liye marz ko janna bohat zurori hai.
Zamanat par bahar aeye 74 sala Chidambaram ne kaha ”mujhe khoshi hai ke adalat ne zamanat manzoor kiya aur mein ne 106 din ke baad azaadi ki saans lee“. Congress rehnuma ne kaha ke jail se bahar anay ke baad, Un ki pehli soch Kashmir ke 75 Lakh awam ke liye thi, Jo apni buneadi azaadi se mehroom hai“, Hamein unki azaadi ke liye ladna chahiye “. Chidambaram ne kaha ke mai khaas tor par un siyasi rehnumao ke baarey mein fikar mand hon, Jinhein baghair kisi ilzaam ke hirasat mein liya gaya hai.
Tehar jail mein 106 din guzarnay ke baad, Chidambaram charshumbe ki shaam ko zamanat par raha hue. Chidambaram ko 21 August ko Central Bureau of Investigation ( CBI ) ne INX media, jo ab 9 x news ke naam se jana jata hai ke ek case mein giraftar kiya tha. Inhen 5 September ko adalti tehweel mein bheja gaya tha. 16 October ko, Jab woh Tehar jail mein adalti tehweel mein they, Enforcement Directorate ( ED ) ne inhen di prevention of money laundering Act ( P. MLA ) ki daf-aat ke tehat girftar kiya tha. Aur 17 october se, 30 october tak ED ki tehweel mein bhaij diya gaya tha.
–YTN STAFF