Hyderabad : Riyasat Andhra pradesh ke assembly intikhabaat mein sabiq chief minister Chandra Babu Naidu ki shikast aur nojawan qaied Jagan mohan Reddy ki janib se hukoomat tashkeel diye janey ke baad awam ko umeed thi ke bunyadi masail par nai hukoomat fouri tavajja markooz karegi lekin Jagan mohan Reddy ki hukoomat ke ibtidayi teen mah ke anqareeb takmeel ke bawajood awam ke bunyadi masail par tavajja nah diye janay ki shikayat ki jarahi hai.
Ab jabkay aindah haftay Jagan hukoomat ke teen mah mukammal hojaenge lekin is douran awam ko shikayat hai ke hukoomat bunyadi aur awaami masail par tavajja markooz karne ki bajaye oppostion TDP aur Chandra Babu Naidu se hisaab kitaab barabar karne par apni saari tawanai sirf kar rahi hai.
Media ne ek azadana survey karne ke baad un nataij ko manzar-e-aam par laya hai ke ke janib jahan awam ka ek gosha is baat ki shikayat kar raha hai ke Jagan hukoomat awaami masail ki bajaye Babu se hisaab kitaab barabar karne par tavajja markooz kar rahi hai to doosri janib awam ka ek aisa gosha bhi hai jo yeh keh raha hai ke Jagan hukoomat ke mutaliq koi bhi raye qaim karna qabal az waqt hoga kyunkay kisi bhi hukoomat ki karkardagi ka tajzia ibtidayi teen mah mein karna behtar nahi hoga. AP hukoomat se khawateen mutmaen dikhayi deti hai kyunkay YSR hukoomat ne un teen mah ke douran ghairqanooni sharaab ki dukanat ko band kardiya hai lekin awam ka ek gosha yeh bhi shikayat kar raha hai ke muqami factories mein Andhra awam ko mulaazmaten faraham karne ke liye 75 feesad jo tahaffuzaat ka elaan hua hai woh riyasat ki taraqqi ke liye faida mand nahi hoga jis se AP ke sadar maqam Amaravati ki taraqqi bhi sust rawi ka shikaar hogi. –YTN STAFF