Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaHukoomat ke daaway ke bawajood Kashmir ke Hospitals mein Internet sahoolat bahaal...

Hukoomat ke daaway ke bawajood Kashmir ke Hospitals mein Internet sahoolat bahaal nahi ki gayi

Srinagar: Hukoomat ke is daaway ke bawajood ke Kashmir ke beshtar Hospitals aur health Centers mein Internet bhaal kiya gaya hai, Beshtar Hospitals mein ye sahoolat bahaal nahi ki gayi hai. Naye saal ke mauqa par Kashmir ke Hospitals mein Internet ki bahaali ka elaan hakoomati tarjuman Rohit Kansal  ne 31 decemeber ko jammu mein ek press conference mein kiya tha.

2 January ko police ke ek bayan mein bhi ye daawa kiya gaya hai ke Kashmir ke Hospitals mein Broadband ko bahaal kar diya gaya hai. Bayan mein kaha gaya hai ke ”Wadi Kashmir mein mehakma sahet aur dafatir sameit 80 sarkari Hospitals mein Broadband teez raftaar Internet rabita bahaal kiya gaya hai“.

Government medical college, Srinagar ke principal, Parvez Shah ne kaha ke phone linen kharab honay ki wajah se Srinagar SMHS hospital mein Internet ko bahaal nahi kiya ja saka. Unhoun ne kaha ”ham 5 mah se Internet ke baghair hain. SMHS  par phone linen died hain. Unhoun ne umeed zahir ki ki phone linon aur Internet ki bahaali shaam se shuru hojaye gi.

Unhoun ne kaha, Taham, Srinagar ke sarkari Chest hospital mein Internet ko bahaal kar diya gaya hai “Dusre Hospitals mein bhi sorat e haal kuch mukhtalif nahi hai. Rainawari mein JLNM  hospital mein, Internet moattal hai. JLNM Superintendent ne kaha ke wo hukoomat ke elaan ke bad is sahoolat ki bahaali ke muntazir hain.

Agar chay beshtar medical collegeon aur is se munsalik Hospitals mein Internet band hai, Lekin Kashmir ka wahed lone tertiary  hospital, SKIIMS  ka rabita bohat kam hai. SKIIMS  ke medical superintendent Farooq Jaan ne bataya ”Pandra din qabal qaim kiye hue Ayushman Bharat  Yojina connection doctoroun aur amlay ke liye karkardagi hai.

Health Kashmir ke director, Sameer Matoo  ne kaha ke masla ziyaad tar phone linoun mein biloun ki adaigi nahi karne par hai. Matoo ne kaha ”Internet ki bunyadi wajah abhi tak aam nahi hui hai aur is ki wajah biloun kidam adaigi aur phone linon ki kharabi hai“. 5 August ko Article 370 ki mansookhi ke baad, Kashmir mein Internet ki muatali se logoun ko kayi mushkilaat ka saamna karna pada aur kaarobar ko bohat nuqsaan pouncha.

Internet blackout ki wajah se mobile phone shobay, Online tijarat, Kharidari aur sayahat aur mulazimat mein bhi kami waqay hui hai. Kashmir bhi sahet ka shoba intahi kharab haalat mein hai, Kyunkay mareezoun ko Ayushman Bharat aur online mushawarat jaisi sahet ki Schemoun ka faida nahi mila hai. Taham, Ek sarkari bayan mein kaha gaya hai ke Kashmir ke Hospitals aur sahet marakaz mein 80 broadband Internet connection bahaal kar diye gaye hain. –YTN STAFF