Friday, May 17, 2024
HomeIndiaHukoomat Hindustan ko Dharam shalah bana rahi: Raj Thackeray

Hukoomat Hindustan ko Dharam shalah bana rahi: Raj Thackeray

Pune: Maharashtra no Navnirman Sena ke sadar Raj Thackeray ne herat angaiz tor par is baat ka izhaar kiya hai ke Maharashtra mein BJP Shive Sena aur ne intikhabaat mein kiye gaye awaami faislay ki tauheen ki hai aur ek baar phir unhoun ne muhajreen ke khilaaf aawaz uthai hai.

MNS ke sarbarah ne kaha ke Shive Sena aur BJP ne awaami faislay ki tauheen ki hai aur Shive Sena ke zariye NCP aur congress se haath milana bhi ek ghalat faisla hai. Raj Thackeray ne mazeed kaha kay jinhoun ne aisa kiya hai inhen raye dahindgaan sabaq sakhayinge aur awam Maha Vikas Aaghadi se khush nahi hain. Unhoun ne ek press conference mein pesh  qiyaasi ki ke aindah intikhabaat mein is ka rad-e-amal pata chal jayega.

MNS ka Assembly mein sirf ek MLA hai aur wo BJP ki qayadat mein opposition ki nashistoun mein baithta hai. Raj Thackeray ne kaha ke Pakistan , Bangladesh aur Afghanistan ke ghair qanooni panah guzeroun ko mulk se utha kar pheink dena chahiye tha aur kyunkay unki wajah se mulk par maali boojh padh raha hai. Unhoun ne kaha kay wo Amit Shah ki chalaki ki daad dete hain ke CAA aur NRC ko pesh kardiya hai, Jis ki wajah mulk mein afratafri peda hogayi hai aur ye sab iqtisadi bohraan ko logoun ke zehan se nikaalne ke liye kiya gaya hai.

Unhoun ne markazi hukoomat se poocha ke beroun mulk se mazeed logoun ko laakar basanay ki zaroorat hai jabkay pehlay hi yahan ki abadi 130 crore se tajavez kar chuki hai. Kya hukoomat Hindustan ko dharam Shalah bana rahi hai.

Raj Thackeray ne kaha kay pehlay hukoomat ko pata lagana chahiye ke kitney musalman sadiiyoun se mulk mein reh rahay hain aur phir ghair qanooni tor par panah liye hue Pakistani, Bangladeshi aur Afghanistan ke shehrioun ka pata lagaye aur inhen mulk se nikala jaye.

Unhoun ne kaha ke meri samajh mein nahi aata hai ke hum ek aam aadmi ke masail hal karne mein nakaam hain aur refugio ko mulk mein laakar basanay ki baat ki jarahi hai. Pehlay hukoomat ko hamaray awam ki falah o behbod ki taraf tavajja dena chahiye.

Raj Thackeray ne kahad ki hudood mein rehne walay panah gazenoun se waaqif hai, Lekin is ki bhi kuch kuch had muqarrar hai aur wo karwai nahi kar saktay hain. Unhoun ne kaha ke hindustani musalman jo sadiiyoun se mulk mein abad hain, Inhen fikar mand honay ki zaroorat nahi hai.

Unhoun ne CAA  aur NRC ke nifaz karne tareeqa kar par bhi sawal utha, Jabkay isi reports hain ke shehriat ke Aadhaar card, Election card waghera shehriat ke liye qabil qubool nahi hain. –YTN STAFF