Monday, April 21, 2025
HomeSliderHukomat Ganesh mortiyon ke size par koi pabandi nahi ki

Hukomat Ganesh mortiyon ke size par koi pabandi nahi ki

Hyderabad: Telangana ke wazeer afzaish moyishyan, samkiat-o-diri Development T Srinivas Yadav ney wazeh kiya hai ke Telangana hukoomat ney Ganesh ki mortiyon ke size mein kisi bhi qisam ki kami par pabandi ayed nahi ki hai taham is ney Covid-19 waba ke pesh-e-nazar ehthyat se kaam liya hai. Unhoun ney Bhagya Nagar Ganesh Utsav Samithi aur aala ohdedaron ke numaindon ke sath hue ijlaas ke baad media se baat karte hue wazeh kiya ke KCR zair-e-qayadat reyasti hukoomat tamam mazahab ke tehwaron ka ehtram karti hai. Unhoun ney kaha kay jaria saal Covid-19 ki waba ke pesh-e-nazar is tehwar ke silsila mein mukhtalif umoor par tabadlah khayaal kiya gaya aur samiti ke numaindon se raye haasil ki gayi.

Wazeer Mosoof ney elaan kiya ke aindah hafta ek aur ijlaas munaqqid kiya jaye ga aur zaroorat padney par silsila waar 3 taa 4 ijlaas munaqqid kiye jayen ge. Aaj ke ijlaas mein tamam shirka ney samaji faasla ko yakeeni banaya aur apni raye ka izhaar kiya. Unhoun ney nishandahi ki ke ye waba duniya bhar mein hai aur kisi ney bhi is terhan ki sorat-e-haal ki tawaqqa nahi ki thi. Doosri taraf Covid-19 ke mamlaat Hyderabad mein badhatay jarahay hain. Unhoun ney kaha kay hum ney is sorat-e-haal ka ehtram karte hue kayi tehwar jaisay Ram Navami, Ugadi, Ramzan, Bakrid, Mahankali Jatra, Vinayak Chaturthi  manayi aur hamein anay  walay tehwaron ko bhi is ke pesh-e-nazar sorat-e-haal ka ehtram karte hue mana na chahiye. Hum corona ki waba ke pesh-e-nazar is saal kis terhan ye Fistival manayeen is par ghhor-o-khoz kar rahay hain.