Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaHrithik Muslim Ladki se shaadi karsaktha to mein kyun nahi?

Hrithik Muslim Ladki se shaadi karsaktha to mein kyun nahi?

Mumbai: Bollywood ke Action Hero Hrithik Roshan ki baadi Behan 47 sala Sunaina Roshan ney inkeshaaf kiya ke un ki janib se Musalman shakhs se mohabbat kiye jaany par inhen ghar se nikalney par majbor kardiya gaya tha aur waalid ney inhen tashadud ka nishana banaya.Sunaina Roshan ney showbiz Website ko diye gaye interview mein kaha ke aik saal qabal hi Social Media ke zariye un ki dosti Musalman sahafi Ruhail Amin se huwi jo baad azan mohabbat mein badal gayi.

Sunaina Roshan ney daawa kiya ke Musalman shakhs se mohabbat karne par waalid ney inhen thapar maaray aur kaha ke Ruhail Amin dehshatgard hai. Sunaina Roshan ney ilzaam ayed kiya ke ghar walon ney inhen kharchay ke paisay bhi nahi diye aur woh un ke ravayye ki wajah se ghar se nikalney par majaboor hain. Sunaina ney daawa kiya ke Hrithik roshan ney un se wada kiya tha ke woh inhen allag ghar khareed kar den ge, lekin ab woh inhen ghar ka kiraya bhi nahi dete.

Unhon ney bhai ko bhi apne waalid Film saaz Rakesh Roshan jaisi soch ka haamil shakhs qarar diya aur ab sahafi Ruhail Amin ney bhi Sunaina Roshan ki janib se kiye jaany walay inkishafaat par pehli martaba khil kar baat ki hai aur kaha hai ke kis terha un ke aur Sunaina ke mohabbat ko Roshan khandan qubool nahi kar raha.

Ruhail Amin ney hairangi ka izhaar kiya ke Hrithik Roshan ney khud aik musalman Ladki Sussanne Khan se shadi ki thi aur ab jab un ki behan ney un se mohabbat ki to usay ghalat samjha ja raha hai. Ruhail Amin ke mutabiq un ki aur Sunaina ki dosti aik saal qabal hi Social Media ke zariye huwi aur jo mohabbat mein badal gayi aur inhen yeh sun kar pehlay to yaqeen hi nahi aaya ke Sunaina ke khandan walay un ki mohabbat se naraaz hain. Ruhail Amin ney hairangi ka izhaar kiya ke jab inhenSunaina ney bataya ke un ka khandan un ki mohabbat aur dosti ko mukhtalif mazhab ki wajah se tasleem nahi kar raha to inhen un ki baat par yaqeen nahi aaya lekin baad azan inhen ehsas huwa ke woh sach ke rahi hain.

Unhon ney khud ko Sunaina ke waalid ki janib se dehshatgard qarar diye jaany par hairangi ka izhaar kiya aur ke woh yeh ilzaam sirf is liye laga rahay hain ke mera talluq un ke mazhab se nahi. Ruhail Amin ney hairangi ka izhaar kiya ke yeh wohi khandan hai jis ke betay Hrithik Roshan ney aik musalman khatoon se shadi ki aur ab jab un ki behan ney mujh se mohabbat ki to usay ghalat qarar diya ja raha hai. Wazeh rahay ke Hrithik Roshan ki ahliya Sussanne Khan adakar Zaid Khan ki behan aur Fardeen Khan ki cosuon hain. Sussanne Khan aur Hrithik Roshan ney 2000 mein shaadi ki jo 14 saal baad 2014 mein Talaq par khatam huwi aur dono ke 2 bachay bhi hain. Talaq ke bawajood dono ko ab bhi aik dosray ke sath dekha jata hai aur woh aik dosray ko ab bhi behtareen saathi qarar dete hain.

Hrithik Roshan ki behan Sunaina pehlay do shaadiyan kar chuki hain aur un ki dono shadian Talaq par khatam huien. Simaoma Roshan ki pehli shadi beti ke paidaiesh ke chand saal baad 2000 mein Talaq par khatam huwi, unhon ney 2009 mein Real State ke sanat kar Mohan se shadi ki, taham un ki doosri shadi bhi mehez chand saal ke andar khatam hogayi. Sunaina Roshan ko pehlay shohar se aik 23 sala beti bhi hai aur woh zehni bemari ka shikaar bhi hain. Sunaina Roshan ki 2013 mein Brain Surgery ho chuki hai aur woh is ke baad’ (zehni bemari) ka shikaar hain. Sunaina Roshan ke sahafi Ruhail Amin se taluqaat ustuwar honay se qabal mutadid TV adakaron aur karobari afraad se bhi taluqaat rahay.