Tuesday, October 15, 2024
HomeLatest NewsHotel ke 2 kamron mein 8 maah tak qiyaam 25 lacks rupiye...

Hotel ke 2 kamron mein 8 maah tak qiyaam 25 lacks rupiye ka bill adaa kiye bagair bathroom ki khidki se faarar

Mumbai: Ek 43 saala shaqs taqreeban 8 maah tak Maharashtra ki nayi Mumbai ke ek hotel mein qiyam kiya aur 25 lacks rupiye ke wajibaat ki adaigi ke bagair bhag gaya. Us shaqs ki shanaqt murli kaamat ke taur par huwi hai jo ke andheri ka rehne wala hain. Usne 8 maah ki muddat ke liye khargur ke ilaqe mein hotel 3 star ke do kamre hasil kiye usne apne bete ke saath hotel mein check in kiya tha jis ki umer 12 saal hai woh 25 lacks rupiye ka bill dene ke baad bhaag gaya.

Hotel intezamiya ne murli kaamat ke khilaf police mein shikayat darj karayi. Ittela ke mutabiq kaamat pehli baar gujishta saal 23 November ko hotel aaya tha usne imle ko agaah kiya ke usne film industry mein kaam kiya hain aur do super deluxe rooms book kiye hain. Ek kamra unke qiyam ke liye tha jabke dusra unki kaam se mutalliq mulaqaton ke liye tha. Usne yaqeen dihaani karwayi thi ke woh ek maah ke baad deposit ki adaigi kar deiga. report ke mutabiq usne apna passport ba taur e zamanat jamaa karwaya is saal may tak kaamat ne unki raqam adaa nahi ki. Hotel ke imle ne paya ke kaamat apne bete ke saath bath room ki khidki se bhag gaya hain us ne apna laptop aur mobile phone kamre mein chod diya. Hotel ne is mamle ke silsile mein police mein shikayat darj karayi.

Ek aur waqia mein ek 16 saala ladka Mumbai mein apne ghar se bhag gaya uske waalid ne use dant diya ke mubina taur par apni maah ke bank account se pub ji khailne ke liye 10 lacks rupe kharch kiye nau umer apne ghar se nikalne se pehle ek alwida note likha jis mein usne kaha kabhi ghar wapis nahi aaeiga uske walidain ne Maharashtra ke darul hukoomat ke MIDC police station mein shikayat darj karwate huwe kaha ke unka na baalig beta laapata ho gaya hain takniki nigrani ka istemal karte huwe police ne use nau umer ko Mumbai ke andheri mashriqi elaaqe ke maha kali ilaaqe mein talash kiya.