Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadHooshiyar hojaien, Kahin hamaray gharo mein bhi Rafiqa ya Samina to nahi

Hooshiyar hojaien, Kahin hamaray gharo mein bhi Rafiqa ya Samina to nahi

Hyderabad: Samina Bano ki ghair Muslim nojawan sai Charan se shadi, Sai ki janib se  harasani aur phir khud kashi ki khabar aaj tamam akhbarat ki zeenat bani huvi hai jo kay Muslim samaaj ka ek tashweesh naak aur siyah baab hai. Chand din qabal Warrnagal mein Rafiqa nami khatoon ka Vijaye Kumar yado ke sath najaaiz taluqaat aur phir is khatoon ke ilawa 9 deegar masoom aur be gunah afraad ke qatal ka waqea abhi thanda bhi nahi huwa tha ke Samina Bano ke waqea ney ye saabit kardiya ke aisay waqeat chand ek nahi balkay un ki tadad badhatay hi jarahi hai.

Sirf akhbar ki khabar ki roshni mein Samina Bano ke waqea ka tazkara karen to 20 sala is nojawan ladki ka talluq shehar ke masroof tareen ilaqay Neredmet

se hai jahan is ne muqami ghair Muslim nojawan ki mohabbat mein giraftar honay ke baad November mein shadi karli thi. Sai Charan bhi Naredmet ke ilaqay Chandra Gary colony ka muqeem hai. Mohabbat aur shadi ke chand mah mein hi is ladki ko khudkushi karni padi, Jis ki wajah Sai ki janib se Samina ko harasan kiya jana hai.

Warrangal mein Rafiqa aur phir ab Hyderabad mein Samina Bano ke waqeat ne ye zahir kar diya hai ke Muslim samaaj ko rootti, Kapda aur makaan ke baad ab apni khawateen aur ladkiyoun ke imaan o izzat aur pak damni ke masail ka saamna bhi hai. Un masail ke hal ke liye jahan muslim tanzimyoun ko apni janib se ki jaane wali koshisho ko mazeed taiz karne ki zaroorat hai to doosri janib walidain ko bhi khawab ghaflat se jaagne ki zaroorat hai kyunkay kahin hamaray aangan mein hi koi aur Rafiqa ya Samina nah ban jaye.

Bachoun ki jahan parwarish mein walidain din raat ek kar rahay hain wahein aisay waqeat mutaqazi hain ke ghar ka mahol deen daar bananay ke ilawa walidain ko apni aulaad ke sath dostana rishtoun ko farogh dena hoga. Asri technology ke is tor mein social media khaas kar Facebook aur WhatsApp par un ki sar garmioun par nazar rakhne mein koi kotahi nahi honi chahiye. Aksar dekha jata hai ke samaaj mein badhti buraiyoun ka ilzaam molvi hazraat ke sar thop kar hum apna daman jhaad letay hain lekin hamein ye nahi bhoolna chahiye ke hamari khawateen ke hum hi muhafiz hain. Aulaad ko jahan har

qisam ka aram aur unki khawahish ko poori karne mein hum koi kasar nahi chodtay wahein un ke imaan o aqeedah ke baqa ki koshish bhi hamein hi karni hogi. Fitri taqazoon se chasham poshi ka nateja hi hai ke hamein Rafiqa aur Samina jaisi khabrain padhnay ko mil rahi hain. –YTN STAFF