Saturday, May 18, 2024
HomeJurmHoney Trap : Hindustan ka sab se bada sex aur black mailing...

Honey Trap : Hindustan ka sab se bada sex aur black mailing scandal

kayi siyasatdan, aala hukoomati ohdedar, Ameer tareen afraad aur NGO mulawis

Bhopal : Hindustan mein ab tak ka sab se bada sex aur black mailing ka scandal samne  aaya hai jis mein kam se kam 8 reyasti wuzra, ek darjan aala Bureaucrats aur Ameer tareen afraad ko noujawan ladkiyoun ne phansaya hai. NDTV ke mutabiq yeh scandal riyasat Madhya pradesh mein samne  aaya aur police is muamlay ko mulk ka ab tak ka sab se bada sex wo black mailing ka scandal qarar day rahi hai.

Is scandal ki 5 markazi mulzim khawateen ko bhi giraftar karliya gaya hai jo ek NGO ke naam par hukoomati vaziroun, sarkari ohdedaron, taajiroun aur Ameer shaksiat ko mohabbat ke naam par phansa kar inhen black mail karti rahen.

Police ke mutabiq is scandal muqadma ke douran guzashta kuch arsay ke douran ladkiyoun aur khawateen ne Madhya pradesh ke 8 reyasti vaziroun, aala hukoomati ohdedaroun, taajiroun aur Ameer tareen afraad ki ek hazaar qabil-e-aiteraaz aur burhenapa videos banen gayi. is scandal ki markazi mulzima 39 sala Shweta jain ne aiteraf kiya ke unhon ne hi is scandal ka mansoobah tayyar kiya aur is maqsad ke liye ghareeb aur Mutwast gharane ki noujawan ladkiyoun ki khidmaat haasil ki gayeen.

Police ke mutabiq is muqadma ki tafteesh ke liye giraftar ki gayi 5 khawateen markazi mulzimaan hain jo apne apne hisaab se ek alag giroh chala kar aala shaksiaat ko black mail karti rahen. un khawateen ki janib se Madhya pradesh sameit deegar reyaston ki khubaru aur college mein zair-e-taleem ladkiyoun ko mulazimtoun aur purtaysh zindagi ki lalach day kar bharti kiya gaya aur inhen wuzra-e-aala ohdedaron, taajiron aur ba-asar tareen mard hazraat ko black mail karne ka nishana diya.

Is scandal ko honey trap ka naam diya gaya hai aur is muqadma mein police ko milne  wali videos mein wuzra-e-aala ohdedaron aur ba-asar afraad ki burhenapa aur qabil-e-aitraaz videos bhi shaamil hain. India today ke mutabiq Hindustan ke sab se badey is sex scandal mein na sirf khawateen aur noujawan ladkiyan hi nahi balkay Madhya pradesh ke sahafi bhi mulawis hain.

Report ke mutabiq is muqadma mein nah sirf aam sahafi balkay akhbarat ke adveritese aur ek TV channel ka maalik bhi mulawis hai jin par ilzaam hai ke woh black mail hone  walay afraad aur khawateen ke darmiyan moahida karne mein kirdaar ada karte they.

Is muqadma mein mulawis sahafion se mutaliq bataya ja raha hai ke woh is wuzra, sarkari ohdedaron aur ba-asar shaksiaat ko aisa ta-assur dete they ke woh inhen ek badnami se bacha rahay hain, lekin darasal woh khawateen ke group se miley hotay they. is scandal ke samne  aane  ke baad ek tehelka mach gaya hai aur is muqadma ke hawalay se har roz nai kahaniyan samne  aarahi hain aur khayaal kiya ja raha hai ke is scandal ke tehat black mail kiye jane walay aur siyasatdan bhi samne  ayenge.

Is muamlay ke samne  aane  ke baad umeed ki jarahi hai ke is muqadma ke kayi ek baab hanooz manzar-e-aam per aana baqi hai kyunkay gumaan kiya ja raha hai ke is ki jadein Hindustan ki doosri reyaston aur ilaqon mein phaili hui hain kyunkay is scandal ko anjaam daine  ke liye jahan college ki kam Umar aur khubsorat ladkiyoun ka siyasatdano aur hukoomat ke aala ohdedaron ka nishana banaya gaya hai lehaza uski anjaam dahi mein deegar tabqa ke log mein mulawis honge. –YTN STAFF