Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadHMRL ney 73th Youm-e-Aazadi taqreeb manayi

HMRL ney 73th Youm-e-Aazadi taqreeb manayi

Hyderabad : Hyderabad Metro Rail Limited ( HMRL ) ke ohdedaron ney aaj metro rail bhavan Rasoolpura mein 73th Youm-e-Aazadi taqreeb manaya. HMRL ke MD, NVS reddy ney qaumi parcham lehraya aur mujahideen azaadi ki qurbanion ko yaad kiya, jinhon ney tehreek-e-azaadi mein hissa liya tha.

NVS reddy ney kaha ke hyderabad Metro Rail Project apni maali aur engineering ki jiddat ke sath pehlay hi 75 se ziyada qaumi aur bain ul aqwami award jeet chuka hai. unhon ney kaha ke Hitec city mein kuch hi dinon mein har simt mein trains ki tadaad badha di jayegi.

Unhon ney yeh bhi kaha ke Raidurg  ( Mind Space jtn station ) tak kaam bhi takmeel ke qareeb hai aur Hitec city aur Raidurg  stationon ke mabain section per trails runs shuru honge.

Unhon ney kaha ke chaharshambe ko ek naya record bana, jis mein 3.06 laakh musafiron ney metro trinon aur metro stationon se 3.22 laakh footfalls ka saamna kiya.

Mazkoorah taqreeb mein HMRL ke cheif electrical, Project Manager Anand Mohan, Superintending Engineer M. Vishnu Vardhan Reddy, GM (Works),  BN Rajeswar, DCP, A. Balakrishna, Krishna Moorthy, Louis Berger aur deegar ney shirkat ki. –YTN STAFF