Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadHitec city mein traffic masail ke hal ke liye Carpooling ki tajweez

Hitec city mein traffic masail ke hal ke liye Carpooling ki tajweez

Hyderabad : Shehar-e-Hyderabad mein traffic jam ka masla sangeen hota ja raha hai aur khaas kar ke chand muqamat par traffic masail to tashweesh naak had tak badh chuke hain. ek janib shehar hyderabad ki Asri pehchan Hitec city hai to doosri janib Hitec city mein traffic ke masail sangeen hotay ja rahay hain.

Hitec city, Gachi bowli, Jubilee hills aur financial district aisay ilaqay hain jahan traffic jam ke masail sangeen sorat e haal ikhtiyar kar chuke hain aur un ilaaqon ki sadkon par cars ke be tahasha izafah par sadkain apni tang damni ki shikayat kar rahi hain. RTA ke adad wo shumaar ke mutabiq shehar hyderabad mein 2018 tak char tyres ki gadiyon ki tadaad 10 laakh ho chuki thi aur rozana 230 nai cars sadkoun ki zeenat ban rahi hain.

Shehar hyderabad aur khaas kar mukhtalif ilaaqoun se Hitec city tak traffic masail ko khatam karne ke liye hyderabad metro rail ki khidmaat bhi shuru ki ja chuki hain lekin is nai sahoolat ke bawajood mazkoorah baala maqamat par traffic masail hal honay ka naam nahi le rahay hain. metro rail khidmaat ke aaghaz ke bawajood traffic masail ki ek ahem wajah yeh bhi hai ke metro rail Stations se ghar wo dafatir tak doosri sawari ki behtar sahoolat nah hona hai.

Traffic masail ko hal karne ke liye hyderabad mein waisay to kayi ek tanzeemen kaam kar rahi hain jin ke mansoobon aur tajaweez ko mutaliqa mehakmon ki janib se qubool bhi kiye jarahay hain. high tec city aur is ke atraaf ke ilaaqoun mein traffic jaam ke masail ko hal karne ke liye hyderabad ki ek tanzeem traffic sense un hyderabad ke ohdedar Ahsan pasha ne kaha hai ke Hitec city aur is ke atraaf ke ilaaqoun mein traffic masail ko hal karne ka ek behtar tareeqa yeh hai ke yahan car Polling ka nizaam ikhtiyar kiya jaye.

Hindustan ke ahem metro shehroun jaisay Dehli , Mumbai , Chennai aur Bangalore mein car polling traffic masail ke eksoi ke liye behtareen tareeqa ke tor par istemaal kiya ja raha hai. yaad rahay ke car polling woh tareeqa hai jis ke zariye ek hi manzil ki taraf jaane walay chand afraad apni apni infiradi car se daftar aur ghar jaane ki bajaye ek mushtarqa car se manzil maqsood ki simt rawana hotay hain jis se nah sirf sadkon par cars ki tadaad kam hoti hai balkay ek se zayed afraad ko driving ke boojh se bhi raahat mil jati hai.

Hyderabad mein waisay to car polling ka mukhtalif maqamat par aaghaz hochuka hai lekin Hindustan ke deegar shehron ki bah nisbat nawaboun ke is shehar mein is tareeqa car ko apni maqboliat haasil ke liye kuch saal lag sakte hain. Hitec city hyderabad ke masroof tareen aur ahem maqamat mein se ek ilaqa hai jahan rozana awaami hamal wo naqal ke zariye RTC 210 buses ki khidmaat faraham karta hai jabkay MMTS rails rozana mukhtalif maqamat se Hitec city tak 50 hazaar Musafireen ko pohanchate hain. iske alawa hyderabad metro rail se bhi taqreeban 50 hazaar se zayed Musafireen mukhtalif maqamat se Hitec city ka rukh karte hain. -YTN STAFF