Saturday, May 4, 2024
HomeLatest NewsHinudstan ke 80 feesad Engineering talba kisi bhi mulazimat ki salahiyat nahi...

Hinudstan ke 80 feesad Engineering talba kisi bhi mulazimat ki salahiyat nahi rakhtay

Hyderabad:  Is haqeeqat se kisi ko inkaar nahi ke har muhallay aur gali mein do chaar Engineers talba hamein zaroor mil jatay hain lekin 80 feesad Hindustani Engineers kisi bhi mulazmat ke liye ahliat nahi rakhtay kyunkay sirf 40 feesad Hindustani Engineers Internship karte hain jabkay 36 feesad engineer talba apne course se bahar ka project takmeel kar paatey hain .

Engineers ki salahiyaten aur aalmi mulazmtuon mein hum ahangi ke mutaliq jo taaza tareen report jari ki gayi hai woh intehai mayoos kan hai kyunkay Hinudstan ke Engineers talba mulazmat ke husool ke liye mutaliqa ahliat nahi rakhtay hain. 2019 mein mulazimton ke mawaqay aur ahliat ke zimn mein kiye gaye surway jo kay Spring Minds ki janib se kiya gaya hai is mein jo tafseelaat faraham ki gayi hain is mein sab se pehlay to yeh kaha gaya hai ke Engineering talba mein angrezi mein mahaarat nahi hoti jabkay 80 feesad aisay talba hain jo ke muashi market mein kisi bhi mulazmat ki ahliat nahi rakhtay hain .

Is report mein wazeh kiya gaya hai ke Hindustani Engineers mein sirf 2.5 feesab aise talba hai jin ka shumaar un talba mein hota hai jo kay mutaliqa market mein jo maang hoti hai is se poora karne ki salahiyat rakhtay hain. yeh surway Hinudstan bhar ke 750 se zayed engineering collegeon mein mojood ek laakh 70 hazar talba se haasil kardah tafseelaat par mabni hai. is surway mein hindustani engineers ka mawazna chain aur America ke engineers ki salahiyaton ke sath bhi kiya gaya hai jis mein sirf hindustani engineers code tehreer karne ke muamlay mein China ke Engineers se kisi qader behtar hain. hindustani engineers mein 4. 6 feesad talba sahi tor par code tehreer kar saktay hain jabkay china ke hum mansab 2. 1 feesad hain jo is kaam mein maahir hain jabkay America mein 18. 8 feesad engineers sahih tor par code tehreer karne ki salahiyat rakhtay hain .

Salana report mein jo salahiyaton aur market ke darmain moujood khaleej ki nishandahi karte hue is ki ahem wajohaat batayi gayi hain un mein ek ahem wajah yeh batayi gayi hai ke engineering woh shoba hai jahan padh kar ya sun kar kuch seekha nahi jata aur aisay amal se nataij behtar haasil nahi hotay balkay yeh woh shoba hai jahan amli mashq ke zariye koi cheez banayen aur sikhi jati hai, lekin Hinudstan mein engineering collegeon mein ziyada tar nisaab kitabon se hi haasil kiya jata hai amli mashq bohat kam hoti hai yahi wajah hai ke 40 feesad engineer talba hi internship mukammal karte hain jabkay 36 feesad engineer project ko sahih andaaz mein mukammal karte hain. doosri ahem wajah engineering colleges sanati shobo ke sath ishtiraaq aur taawun ke zariye nisaab tayyar nahi kiya jata jis ki wajah se talba sirf college ke mahol tak hi mehdood ho jatay hain aur inhen market mein mojood challenges ka andaza hi nahi hota hai .

Talba se hatt kar engineering asatezah mein bhi 60 feesad aisay asatezah hain jo ke sanati challenges ke mutaliq darpaish masail par mazakraat nahi karte jabkay 47 feesad talba ko hi yeh mawaqay mlitay hain ke woh college se bahar sanati duniya se raabtey karte hue Seminars , workshops , conferences ya web news mein shirkat karte hue sanat aur market ke challenges se khud ko hum aahang kar saken .

Engineering talba ko is waqt sab se ziyada mushkilaat ka saamna karna padta hai jab inhen mulazmat ki talaash hoti hai kyunkay 40 feesad talba ne yeh shikayat ki hai ke inhen sahih company aur un ke nisaab ke mutabiq mulazimton ke husool mein sakht mushkilaat ka saamna hota hai. dosra masla interview mein kamyaab hona bhi hai. report mein kaha gaya hai ke engineering talba ke liye mulazimtoun ke husool ke liye aur market ki maang ke mutabiq apni ahliat ko saabit karne ke liye counseling ki be hadd zaroorat hai.- YTN STAFF