Mumbai : World cup mein hindustani khiladiyoun ki zafrani rang ki jerseys ke istemaal par ek naya tanaza shuru hogaya hai. tafseelaat ke mutabiq world cup 2019 ke Hindustan aur England ke match mein qaumi Khiladhi neelay rang ki bajaye zafrani rang ka libaas istemaal karenge jisay mulk oppostion jamaaton nay siyasi rang qarar dete hue hukoomat aur Wazeer-e-Azam par shadeed tanqeed ki hai. 30 June ko honay walay world cupp ke 38th match mein hindustani team ki zafrani jerseys pehannay par oppostion leadron nay kaha hai ke mulk ke wazeer-e-azam Narendra Modi ki yeh ek chaal hai, woh cricket ko bhi siyasi rang dena chahtay hain, hamara qaumi rang neela hai to zafrani jerseys pehannay ka kiya maqsad hai.
Samajwadi party ke MLA Abu Azam Asmi nay kaha hai ke yeh Modi ki janib se mulk mein taasub phelanay ki ek saazish hai, Modi yaad rakhen ke hindustani parcham tiranga bhi ek musalman nay tarteeb diya tha. agar qaumi team ki jersey ka rang badalna hi hai to usay Tirange ka rang day den. qaumi team ko sirf zafrani rang ki jerseys pehnanay ke peechay Modi ka kiya maqsad hai. Abu Asim nay Modi par tanqeed karte hue mazeed kaha ke is se wazeh ho jata hai ke Modi mulk mein taasub ki aag bhadka rahay hain aur khel ko bhi siyasi rang dena chahtay hain.
Doosri janib team ke bowling coach Bharat Arun nay press conference ke douran kaha hai ke hamein andaza nahi nah hamein bataya gaya hai ke hum konsa rang pehan kar maidan mein utrainge hamari tavajja sirf khail par markuz hai. darin asna Shivsena ki tarjuman Manisha nay kaha ke oppostion ko Assembly intikhabaat mein apni shikast wazeh dikhayi day rahi hai isliye woh is tarhan ke bayanaat day rahi hai.
Alawa azeen BJP ke MLA Ram Kadam nay kaha ke rawan monsoon session ke douran oppostion party asal masail se tavajja hatarahi hai. wazeh rahay ke itwaar ko Birmingham mein hindustani team apne 7th match ke douran zafrani rang ki jerseys pehnay gi jabkay ICC events mein hissa lainay wali teams 2 rang ki cuts istemaal kar sakti hain. ICC world cup 2019 ki maizbani karne wali team neelay rang ki kat mein hi saaray matches mein hissa le gi, jabkay baqi tamam teams 2 rang ki cuts istemaal kar sakti hain. –YTN STAFF