Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderHindustani Team ki Jarsi par bhi zafrani rang?

Hindustani Team ki Jarsi par bhi zafrani rang?

London: ICC World Cup ke silsilay mein honay walay Hindostan ba muqabla England match ke douran Hindustani khiladi neelay rang ke bajaye zafrani rang ki jarsiyan istemaal karen ge. Tafseelaat ke mutabiq 30 June ko Birmingham ke Ground mein honay walay Hind. England Match ke douran Hindustani team ke khiladi zafrani rang ki jarsiyan pehnein ge jabkay England ki team apni purani neelay rang ki kat mein hi khelti nazar aeye gi.

ICC events ke Television par Nashar honay walay sabhi muqablon mein hissa lainey wali teamon ke liye 2 rang ki cuts dena zurori hota hai jabkay maizban team aik hi kit mein poora event khelti hai. ICC World Cup 2019 ki maizbani karne wali English team neelay rang ki kit mein hi sabhi matches mein hissa le gi jabkay baqi tamam teamon 2 se 3 rang ki kits istemaal kar sakti hain. Yaad rahay ke 2 June ko World Cup match mein South Africa ney Bangladesh ke khilaaf harey rang ke bajaye peelay rang ki shirts ka istemaal kiya tha jabkay Bangladesh ney is match mein laal rang ka libaas istemaal kiya tha .

Isi silsilay mein Afghanistan Cricket Board ney bhi guzishta mah 3 mukhtalif rangon ke libaas twitter par shaya ki theen. Yaad rahay ke World Cup ke Simi final mein kon kon si temen poanch sakti hain is ka andaza honay laga hai aur Hindustani team bhi Simi final ki janib mazbooti se qadam barda rahi hai. team ney abhi tak khailay chaar matchon mein se teen mein jeet darj ki hai jabkay aik match barish ki wajah se nahi ho saka tha. Yeh muqaabla New Zealand ke khilaaf tha.

Hindustani team ko ab itwaar 22 June ko Afghanistan ke khilaaf maidan par utarna hai jabkay 27 June ko West Indies aur 30 June ko England se is ka muqaabla honay wala hai. Is ke baad Bangladesh aur Sri Lanka se bhi team ko apna match khelna hai lekin un sabhi mein England ke khilaaf honay wala muqaabla intahi khaas aur allag hai. Halaank Hindustani team ki kit Sponsor Company naik ney is silsila mein abhi tak khamoshi akhtiyar ki hai.