Washington: Pichlle 9 dinoun mein teesri baar, Hindustani nazaad American ne mutanazia shehriat tarmeemi act ( CAA ) ki yahan hindustani sifarat khane ke bahar mukhalifat ki, Aur ilzaam lagaya ke naya qanoon hindustan ke secular ayeen ke manafi hai“. The American Bazaar ki report ke mutabiq, Hafta ke roz sefartkhane ke qareeb, Mahatma Gandhi ke mujasmay ke samnay ehtijaj kiya gaya. Washington mein ehtijaj karne walay qareeb 150 afraad mein mutadid talba aur nojawan aur pesha war afraad shaamil they.
Niki Nek, Jo filhaal Washington mein kaam kar rahi hain. unhoun ne kaha ke mai ek hindustani shehri hon aur mein hindustan mein pali badhi hon, Mujhe hamesha is haqeeqat par fakhr raha hai ke hindustan ek jamhoriat aur secular mulk hai“. Ek aur khatoon, Mallika Shankar ne kaha ke, Hum apni omar ke logoun mein baydaari peda karne ki koshish kar rahay they, Social media ko istemaal karne ki koshish kar rahay they“. Mujhe lagta hai ke hum jin logoun ki par wah karte hain, Inhen dikhaane ka sab se achha tareeqa ye hai ke aap sirf mutharrak rahen aur is lamhay mein mojood rahen“.
The American bazaar ne ittila di hai ke shumali America ke hindustani musalmanoun ki anjuman ke sadar Kaleem Khwaja ne kaha hai ke inhen muqami hindustani Amrici community ke rad-e-amal se hosla mela hai. Khwaja, jo 22 decemeber ko isi maqam par isi terhan ke ehtijaj ke muntazmeen mein shaamil they, Jinhoun ne 500 se zayed afraad ko Raghib kiya tha. Unhoun ne kaha ”loog mazhab ke baaray mein baat kar rahay hain, wo mazhabi ikhtilafat ke baaray mein baat nahi kar rahay hain. Wo Hindustan ke ayeen ko mehfooz rakhna chahtay hain.
Itwaar ke roz bhi, Hindustani. American ke ek group ne New York ke times square mein is mutnaza Act ke khilaaf muzahira kiya. CAA, jo 12 decemeber ko nafiz kiya gaya tha, Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se ghair muslim aqlitoun ko shehriat deta hai, Jo 31 decemeber 2014 ko ya is se pehlay Hindustan puhanche they. Mutanazia qanoon ke khilaaf pooray Hindustan mein ehtajaji muzahiray ho rahay hain, Aur beron mumalik mein bhi is ke khilaaf ehtijaj zor pakar raha hai. –YTN STAFF