Saturday, April 20, 2024
HomeSliderHindustani hockey team ki nazrein fitness aur pares par markooz

Hindustani hockey team ki nazrein fitness aur pares par markooz

Bangalore: Maujooda lamhe mein rehna hi kamyabi ki sab se badi wajeh thi ke Hindustan Tokyo Olympics games mein ibtedahi matches mein 3 nakamiyo ka saamna karne ke baad wapsi kar saka adita jo Tokyo mein 4 muqaam hasil karne wali Hindustani hockey team ka hissa thi unho ne kaha mere khayal mein maujooda lamhe mein rehna hi sab se badi wajeh thi ke hum ibtedai matches mein 3 nakamiyo ka saamna karne ke baad wapsi kar paye.

Adita ne kaha hum ne ibtedai muqablon mein nakaam hone ke baad hamein Australia jaisi mazboot team quarter final mein aur bil aakhir Tokyo mein tareeq likhne mein bhi madad mili. Hum ne natayej ke baare mein sochna chod diya aur cheezon ko aasan rakha jis se hamein apna fitri khail khailne mein madad mili.

Olympics ke tajurbe ke baare mein baat karte huwe 23 saala qaumi hockey team ki defender ne mazeed kaha main ne hamesha Olympics jaise ehum event’s mein top teamon ke khilaf khailne ka khawab dekha tha.

Holland ke khilaf Olympics career ka agaaz karna khawab ko pura karna tha. Yeh mere career ka bhi aagaz tha. Pehla match datch team ke khilaf is liye yeh ek khas ehsas tha. Agar che hum ne woh match gawa diya Tokyo se apne safar ke baare mein adita ne kaha ek naujawan ke taur par hum ne is tareeqi muhim se bohut kuch seekha hai. Maujooda lamhe mein jeene ka hunar aap ko hairat angez kaam karne mein madad de sakta hain.

Hindustani khiladi filhaal Banglore ke sports authority of india (SIA) mein qaumi couching camp ke liye 25 rukni senior women bunyadi aur imkaani group ka hissa hai. Unho ne kaha ke team camp mein wapis aane ke liye bohut pur Josh hai aur naye season ke agaaz ke liye intezar nahi kar sakti.

Hum camp mein wapis aane ke liye bohut pur Josh hain aur apne naye season ka agaaz ka intezar nahi kar sakte. Humara pehla hadaf fitness par kaam karna hoga kyun ke hum ne tokyo se wapis aane ke baad kuch nahi kiya hai siwai araam ke unho ne mazeed kaha hamare samne ek ehum saal hai tamaam ehum ashiya khailon ke saath hamara hadaf waha gold medal jeetnna aur paers Olympics ke liye barahe rast coulify Karna hoga.