Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaHindustani Cyber Nizam Ke Mehfooz Honay Par Sawalia Nishaan Aeye Din Kisi...

Hindustani Cyber Nizam Ke Mehfooz Honay Par Sawalia Nishaan Aeye Din Kisi Nah Kisi Mehakma Ke Computers Mein Technical Masail Se Awam Pareshan

Hyderabad: Hindustan cyber technology mein taraqqi Yafta mumalik mein shaamil hai ya nahi yeh alag behas hai lekin haliya chand dino mein jo waqeat runuma hue hain is ne yaqeenan aam hindustani shehriyoun ke zehan mein kayi ek sawalaat paeda kar diye hain jaissa ke rawan haftay ki ek badi khabar yeh hai ke road tansport authority ( RTA ) ke riyasat bhar ke dafatir mein masrofiyat thap par gayi theen kyunkay RTA ka computer network nakara hogaya tha jis ki wajah se sirf ek din ke 20 hazaar se zayed appointments mansookh kar diye gaye they .

RTA ka yeh masla peer ki awaleen saaton mein hi shuru hogaya tha kyunkay mawaad jama karne ke alaat ka jo server tha is mein technical masail paeda hogaye they. technical masail ki wajah se tamam khangi aur commercial transportation ki gadiyon ke kaam rok diye gaye they. server mein technical kharabi honay ki wajah se is din jin ka RTA ohdedaron ke sath ijlaas muqarrar tha woh mansookh hogaya jis par awam ne nah sirf barhami ka izhaar kiya balkay reyasti hukoomat aur RTA ke umoor ki takmeel ke liye istemaal kiye janey walay technical network ki karkardagi par bhi sawal uthaya hai .

Ohdedaron ke mutabiq technical masla ki ahem wajah mawaad ki zakheera andozi ke liye server mein faraham ki janey wali memory hai kyunkay is mein itni gunjaish thi ke woh mazeed mawaad ko qubool kare. server mein 5TB memory hi full hui thi halaanke server ki asal memory ki gunjaish 21 TB hai. ziyada se ziyada 21 TB memory ki gunjaish ke bawajood sirf 5TB memory ke mukammal ho janey ke baad hi server mein technical masla paeda hona tashweesh ka baais hai .

Yeh pehla mauqa nahi hai ke riyasat mein kisi sarkari mehakma ka network nakara hua hai balkay chand din qabal electric city department ka bhi Website hack karliya gaya tha. is ke alawa haliya dinon mein yeh masla bhi darpaish hua tha ke airtel ke online adaigi ko bhi ghair mehfooz qarar diya gaya tha aur airtel sarfeen ko hidaayat di gayi thi ke woh company ki sahuliyaat se istifada karte hue ruqomat ki online husool tarseel ke waqt ahtiyat karen kyunkay saarfieen ke bank account dosray afraad ko zahir kar diye jarahay hain .

Hindustan mein sarkari mehakma jaat ke cyber nizaam aur khangi network mein kayi ek barray technical masail aur khamion ke baad IT mahireen jo ke aam sarfeen hain un ka yeh maanna hai ke Hindustan ka cyber nizaam hunoz itna taaqatwar aur mehfooz nahi hai ke woh bunyadi aur aam noiyat ke technical masail ko bardasht kar sakay kyunkay ek janib sarkari mehakma jaat mein jo ohdedar mulazmat anjaam dete un mein aksariyat cyber technology aur network ki karkardagi ke bunyadi dhanchay se waaqif nahi hoti jabkay doosri janib IT shobay ke zimma daari jin baday ohdaydaaron ko di jati hai un mein cyber technology ke network ki mansoobah bandi aur hikmat e amli ke liye door andeshi ka fuqdaan hota hai kyunkay cyber technology un haqayiq ka mutaqazi hai ke jab kisi shobay mein computer aur internet ka istemaal karne ke alawa mawaad ki zakheera andozi ka faisla kiya jaye to wahan jo cyber nizaam qaim kiya jata hai is ki mansoobah bandi kam az kam anay walay 25 barson ki zaroriat ki takmeel ke mutabiq hona chahiye tabhi kisi maqsad ke tehat nasb kiya janey wala cyber nizaam aindah chand dahoun tak bunyadi masail ke baghair apni karkardagi behtar tareeqay se anjaam day sakta hai. cyber technology ki yeh bunyadi shart hai ke jis maqsad aur kaam ke liye computer aur network tayyar kiya jaye to woh mustaqbil mein kam az kam 25 barson ki zaroriat ki takmeel mein kisi technical masla ka shikar na ho . –YTN STAFF