Monday, May 13, 2024
HomeSliderHindustani Bowlers ka shandaar muzahira, Australia 195 runs par dhedh

Hindustani Bowlers ka shandaar muzahira, Australia 195 runs par dhedh

Melbourne: Fast bowler Jasprit bumrah 56 runs ke ouz 4 wicketon, of spiner Ravichandran Ashwin 35 runs par teen wicketon aur Career ka pehla test match khail rahay Mohammad Siraj ke 40 runs par 2 wickets ki shandaar bowling ki badolat Hindustan ne Australia ko dosray aur boxing day test ke pehlay din pehli inning mein 195 run par dheir kardiya. Hindustan ne din ke ekhtataam tak ek wicket ke nuqsaan par 36 run banaliye hain aur woh Australia ke score se abhi 159 run peechay hai. Australia ko 72. 3 over mein 195 run par semathnay ke baad Hindustan ki shuruvaat kharab rahi aur opener Mayank Agarwal khatah khole baghair pehlay over mein hi Mitchell starc ki gaind par LBW hogaye. Career ka pehla test match khail rahay nojawan opener shubhman Gill ne baghair kisi dabao may jarehana batting ki aur kuch shandaar chokay bhi lagaye. Gill aur Pujara ne doosri wicket ke liye Nat out inning mein 36 runs jode. Gill 38 gaindon mein paanch chowkun ki madad se 28 runs aur pujara 23 gaindon mein ek chokay ki madad se saat run bana kar crease par mojood hain. Australiyai captain tim pain ne toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya lekin Bumrah ne opener jo burns ko khatah kholnay ka mauqa diye baghair wicket keeper Rishabh pant ke hathon catch kara diya. panchwin over mein is kamyabi ke baad hindustani Bowlers ne Australia par dabao banaye rakha.

2 saal qabal Bumrah isi maidan par boxing day test mein majmoi tor par 9 wickten haasil karkay Man of The match rahay thay. unhon ne is baar bhi apni karkardagi jari rakhi aur 16 overs mein 56 runs day kar chaar wickten haasil kee. Off spiner Ashwin ne 24 overs ki behtareen bowling mein mehez 35 runs day kar teen wickten haasil kee. Ashwin ne Australia ke star batsman Stevin smith  ko lagataar doosri baar apna shikaar banaya. pehlay test mein smith ek run bana paye thay aur is martaba sifar par out hue. Ashwin ne smith ko apne jaal mein phansate hue leg slip par pujara ke hathon catch karaya. Siraj ne is muqablay mein apne career ka aaghaz karte hue 15 over mein 40 runs day kar 2 wickten apne naam ki.

Mohammad Siraj ko zakhmi Mohammad Shami ke maqam par team mein shaamil kiya aur unhon ne is mauqa ka poora faida uthatay hue do wicket liye jis mein australiyai inning mein sab se ziyada 48 runs bananay walay labushan ka wicket shaamil hai. Siraj ne gend ke alawa achi fielding karte hue 2 catches bhi liye. mustaqil captain virat kohli ke watan wapas aanay ke baad team mein shaamil baen haath ke spiner ravinder jadeja ne 5. 3 over mein 15 runs par ek wicket haasil kya. Umesh yadav ko 12 overs mein 39 runs par koi wicket nahi mili. Hindustan ne is muqablay mein 4 tabdeeli ki aur opener shubhman Gill aur fast bowler Siraj ko test career ke aaghaz ka mauqa diya jabkay all rounder Jadeja aur wicket keeper rishabh pant ne team mein wapsi ki. alawa azeen Rahane ki captani bhi mutasir kin rahi.