Monday, April 21, 2025
HomeSliderHindustan se shikast ke baad Arthur bhi khud kashi karne walay thay

Hindustan se shikast ke baad Arthur bhi khud kashi karne walay thay

London: Pakistani Team ke coach Mickey Arthur ney inkishaaf kiya hai ke Hindustan ke khilaaf Match mein shikast ke baad honay wali tanqeed aur dabao ke sabab woh khudkushi karne ka soch rahay they agar aisa kuch hojata to phir Pakistani Team par yeh dosra daagh lag jata kyun kay 2007 World Cup mein bhi Pakistan ki naaqis karkardagi aur pehlay hi marhalay se ikhraj ke baad is waqt ke coach Bob Woolmer hotel ke apne kamray mein murda paye gaye they aur unki mout aaj bhi aik moamma bani hui hai.

Arthur ney kaha ke Australia ke baad Hindustan ke khilaaf Match mein badtareen shikast ke baad Team ki karkardagi ko shadeed tanqeed ka nishana banaya gaya tha aur coaching staff ki karkardagi par bhi sawalaat uthaye gaye they. South Africa ke khilaaf Match mein fatah ke baad Mickey Arthur ney kaha ke yeh sab kuch bohat taizi se huwa tha, hum aik match haare, phir aik aur match haar gaye, World Cup mein media ke sawalaat, awaami tawaquaat ka boojh bhi hota hai aur hum phir hum aisay muaqqaf mein aa gaye jahan hamein World Cup mein apni jagah bachanay ke lale pad gaye, guzishta itwaar aisa mauqa aaya ke mein khudkushi karna chaah rahai  tha.

Mickey Arthur ney kaha ke is match mein shikast ke baad khiladi media, awam aur social media ki wajah se bohat ziyada dukhi they, woh ziyada so bhi nahi sakay. Mein jaanta hon ke jab hamein deewar se laga diya jata hai to hum kuch achi karkardagi dikhate hain, umeed hai ke aaj ki karkardagi ke baad kuch naqideen ke mun band ho jayen ge. Mickey Arthur ney kaha hum ab bhi Tournament mein agay ja satke hain aur agar hum apni poori salahiyat ke mutabiq khelain to hum kisi ko bhi hara satke hain phir chahay woh New Zealand ho, Bangladesh ya Afghanistan. Pakistani team ke coach ney kaha ke khiladi sad feesad mehnat kar rahay hain, woh apne Mulk ki numaindagi karte huwe bohat pur josh hain aur woh apni Cricket ke hawalay se bhi bohat pur josh hain, hum tournament deegar teamon ki terha behtareen team hain.

Press conference ke douran aik sahafi ney sawal kiya ke innings ke aakhri Overs mein Haris Sohail thakey huwe nazar aa rahay they aur Pakistan ney aakhri teen overs mein sirf 20 runs banaye taham is sawal ke jawab mein team ke coach ney sahafi par barhami ka izhaar kiya. Unhon ney jawab dete huwe kaha ke aap Haris ke baray mein kuch misbet kyun nahi likhate? unhon ney 59 gaindon par 89 runs banaye, aap hamaray khiladion ke baray mein har waqt manfi baaten hi kyun karte hain? mein aaj tak jo bhi behtareen inning dekhi hain un mein Haris Sohail ki inning bhi shaamil hai, aap log behtari ke liye kuch misbet likhain.