Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaHindustan sabhi padosi mumulk se pur aman taluqaat ka khwahan : Naidu

Hindustan sabhi padosi mumulk se pur aman taluqaat ka khwahan : Naidu

New Delhi: Hindustan ke naib sadar Venkaiah Naidu ne jammu-o-kashmir se article 370 hataane ko waqt ki zaroorat qarar dete hue kaha ke Pakistan sameit sabhi padosi mumulk ke sath Hindustan por aman taluqaat ke haq mein hai.

Naidu ne yahan apni rahaish gaah par Delhi aur Agra ki sair ke liye aeye jammu-o-kashmir ke bachoun ke sath baat cheet karte hue kaha hai ke kasmiri lambay arsay se sarhadpar se dehshat gardi se mutasir hain. Un bachoun ke doray ka ineqad fouj ne kiya hai. unhoun ne kaha ke dehshat gardi insaaniyat ki dushman hai aur taraqqi ke rastay ko rokta hai. Dehshat gardi ke wajah se samaaj ki taraqqi ruk jati hai aur mukammal tavajja salamti par tik jati hai.

Unhoun ne kaha ke Hindustan sabhi padosi mumulk ke sath pur aman taluqaat chahta hai aur un mein Pakistan bhi shaamil hai. Jammu-o-Kashmir se article 370 hatana waqt ki zaroorat thi. Is ke baad riyasat ko taiz raftari se taraqqi hogi. Riyasat ke intizamia dhanchay mein tabdeeli se hukoomat ke sabhi mansooboun aur programme ka faida logoun ko mil sakay ga.

Naib sadar ne kaha hai ke taalib ilmoon ko pooray mulk ka dora karna chahiye aur mulk ki ranga rangi ko dekhte hue saqafat aur yakjahti ko samjhna chahiye. Is sayahat se taalib ilmoon ko mulk ke samnay challengoun aur masail ko samajhney mein madad miley gi.

Unhoun ne kaha ke Hindustan sabhi mahazoun par taizy se agay badh raha hai is liye taalib ilmoon ko ubhartay hue imkanaat ko istemaal karne ke liye nai taknik sekhne chahiye.

Zaat-o-Paat, Mazhab aur jinsi bhaid bhao par apni fikar mandi ka izhaar karte hue unhoun ne kaha ke sabhi ko yaksaa mawaqay muhya karane ki koshish ki jani chahiye. –YTN STAFF