Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaHindustan Nitaji Subhas Chandra Bose ka hamesha mashkoor rahay ga :...

Hindustan Nitaji Subhas Chandra Bose ka hamesha mashkoor rahay ga : Wazeer aazam

New Delhi: Nitaji Subhash Chandra Bose ke 123 we yom-e-paidaiesh ke mauqa par inhen yaad karte hue, Wazeer aazam Narendra Modi ne jumaraat ko kaha ke mulk is qayed ki shukar guzar rahay ga, Jo apne hum vatnoun ki taraqqi aur khushhali ke liye khada huva tha. Twitter par 1.55 minute lambi video share karte hue Modi ne azaadi jaddo jehed mein Nitaji ke tayoon ko aur mulk ko azaadi dilanay ke liye un ki lagan ko yaad kiya.

Narendra Modi ne kaha ke astamar ki mukhalifat karne mein bahaduri aur amendment shiraakat ke liye Hindustan hamesha Nitaji Subhash Chandra Bose ka shukar guzaar rahay ga. Wo apne saathi Hindustanyoun ki taraqqi aur khushhali ke liye khaday hue hain.

Modi ne Nitaji ke waalid Jankinath Bose ne Nitaji ki paidaiesh ke waqt likhay hue ek note ko bhi Twit  kiya ”23 January 1897 ko  Jankinath Bose ne apni Diary mein likha ”Ek beta dopehar ke waqt peda huva tha. Ye beta ek azeem Mujahid azaadi aur mufakkir ban gaya“. Modi ne kaha ”Unhoun ne apni zindagi ek azeem maqsad ke liye waqf kar di. Jin ko aaj haaman ki yom e paidaiesh par fakhar se yaad karte hin“.

Wazeh ho ke azeem Mujahid azaadi Nitaji Subhash Chandra Bose ka naam Hindustan ki azaadi ki jaddo jehed ki tareekh mein sunehri harfoun mein likha gaya hai. 23 January 1897 ko Odisha  ke Cuttak mein ek Bengali gharane mein peda hue. Wo apne mulk ki har haal mein azaadi ke khawahish mand they. Unhoun ne apni saari zindagi mulk ke liye waqf kar di aur apni aakhri saans tak mulk ki azaadi ke liye jad-o-jehad ki.

Nitaji congress ke sadar bhi they. Mulk ki azaadi ki tareekh ke azeem Hero, Bose ki zindagi aur mout ko bhallay hi par asaraar samjha jata hai, Lekin unki hub ul-watni hamesha se hi bulaa shuba o misali rahi. –YTN STAFF