Thursday, May 16, 2024
HomeSliderHindustan ne pehlay T20 mein Australia ko shikast di

Hindustan ne pehlay T20 mein Australia ko shikast di

Canberra: Bain ul aqwami career ka pehla muqaabla khailnay walay Natarajan aur Yuzi  chahal ki shandaar bowling ki badolat Hindustan ne pehlay T20 mein Australia ko 11 runs se shikast day kar 3 muqablon ki series mein 1-0 ki Sabqat haasil karli hai.

162 runs ke nishanay ke taqub mein australiyai team 150 par dhair hogayi. Man of the match chahal ne 25 aur Natarajan ne 30 runs ke aiwz teen khiladion ko out kiya. maizban team ke liye captain Finch ne sab se ziyada 35 runs banaye. qabal azeen opener KL Rahul ( 51 ) ki nisf century aur jadeja ke nat out ( 44 ) runs ki badolat Hindustan ne Australia ke khilaaf pehlay T20 mein 20 over mein saat wicketon ke nuqsaan par 161 runs ka challenging score khada kiya.

Rahul ne 40 gaindon par paanch chowkoun aur ek chhakay ki madad se 51 aur jadeja ne 23 gaindon mein paanch chowkun aur ek chhakay ki madad se nat out 44 runs ki taiz raftaar innigz kheli.

Toss harkar pehlay batting karte hue Hindustan ki shuruvaat achi nahi rahi aur opener shikhar dhawan ko starc ne bold karkay pavellion bhaij diya. Dhawan ne 6 gaindon mein ek run banaya. Dhawan  ke baad captain virat kohli bhi ziyada der crease par nah thehr sakay aur nou gendoun mein ek chokay ki madad se 9 runs banakar out hue. Rahul ne zimma daari nibhate hue team ki inning ko aage badhaya aur apni 12 win nisf century mukammal ki lekin iske baad woh apni inning ko agay nahi badh sake aur moises ki gaind par abott ko catch diye.

Middle order batsman sanju Samson ne 15 gaindon mein ek chokay aur ek chhakay ki madad se 23 runs banaye.

Manish panday bhi apna jalwa bakhernay mein nakaam rahay aur 8 gaindon mein sirf 2 runs banakar adam zampa ka shikaar banay.

Australia ke khilaaf ODI series mein umdah karkardagi ka muzahira karne walay all rounder hardik pandy bhi kuch khaas nahi kar sakay aur unhon ne ek chhakay ki madad se 15 gaindon par 16 runs banaye. T20 series ke liye team mein shaamil kiye gaye washington sunder ne 7 runs banaye. Australia ki janib se henqriques ne char over mein 22 run day kar teen, starc ne 4over mein 34 run par do, zampa ne chaar mein 20 runner par ek aur machal ne 2 overs mein 21 runs day kar ek wicket haasil kya.