Tuesday, April 30, 2024
HomeLatest NewsHindustan ne 46 baras ka manfi record tod diya

Hindustan ne 46 baras ka manfi record tod diya

Adelaide: Hindustani cricket team intehai sharamnaak batting ka muzahira karte hue Australia ke khilaaf day night test ke teesray din hafta ke roz pehlay session mein apni tareekh ke record kam tareen score 36 runs banakar dhair gayi.

20 June 1974 ko Lords ke maidan par Hindustan ne England ke khilaaf 42 runs banaye thay. 46 saal baad Hindustan ne ab apne sab se kam tareen score ka manfi naya record bhi banaya hai.

Hindustan ki doosri inning no wicketon par 36 runs per hi simpti gayi jabkay Mohammad Shami zakhmi honay ke baais retire hue aur isi ke sath hi Hindustan ki inning ka khtama hogaya.

Shikast ko alfaaz mein bayan karna mushkil : kohli

Australia ke khilaaf pehlay day night test match mein 8 wicket se mili sharamnaak shikast ke baad hindustani team ke captain virat kohli ne kaha ke is shikast ko alfaaz mein bayan karna mushkil hai. Hindustan ko pehli inning mein 53 runs ki Sabqat mili thi lekin teesray din ke pehlay session mein hi josh Hazlewood aur patt cummins ne hindustani batsmanon par qehar barpa kiya aur mehez 36 runs ke score par iski inning dhair kardi.

Kohli ne kaha is shikast ko alfaaz mein bayan karna be had mushkil hai. Hum ne pehli inning mein 60 runs ke qareeb ki Sabqat haasil karli thi aur is ke baad hamari batting poori tarhan nakaam rahi. Hum ne 2 din se sakht mehnat ki aur mazboot muaqqaf mein rahay aur phir ek ghantay mein mahol aisa hogaya ke hamaray liye jeet namumkin hogayi. unhon ne pehli inning ki tarhan ek hi bowling ki lekin hamari soch ziyada se ziyada runs bananay ki thi.

Captain ne mazid kaha imandari se kahoon to Australia ke bolron ne achi bowling ki. mere khayaal se runs banana thora mushkil tha aur unke bowler par etemad thay. unhon ne kaha ke zahir hai ke team ki karkardagi meri zimma daari hai lekin mujhe yaqeen hai ke khilari aglay match mein mazbooti ke sath wapsi karenge. Mohammad Shami ki chout ka scan kiya jayega aur is ke baad hi is silsilay mein kuch pata chal sakayga.