Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaHindustan mu-alliq parliament ki simt gaamzan ?

Hindustan mu-alliq parliament ki simt gaamzan ?

Hyderabad: Hindustan  mein parlimani intikhabaat ke chouthay marhalay ki raye dahi mukammal hochuki hai aur is douran 9 reyaston ki 71 nishistoun par raye dahi hogi aur un mein aksariyat shumali Hindustan  ki woh hindi patti hai jahan barsar iqtedar BJP ko 45 nishistoun ka dafaa karna hai. 2019 ke lok sabha intikhabaat apni noiyat ki munfarid intikhabaat saabit ho rahay hain kyunkay chouthay marhalay ki raye dahi ke bawajood raye dahindgaan ka mizaaj, rujhan aur tabiyat ka andaza lagana mushkil hai aur aisa lag raha hai ke Hindustan  ek mu-alliq parliment ki simt gaamzan hai .

chouthay marhalay ki raye dahi mein waisay to kayi  hum nishistoun aur siyasi qaideen ke darmiyan misabiqati muqaabla dekha ja raha hai aur Hindustan  ke Crores raye dahindgaan ki nigehain unpar markooz ho chuki hain. Hindustan  ke Wazeer e Azam Narendra Modi aur Rahul Gandhi par Hindustan  ki nazrein markooz ho chuki hain is ke alawa Begusarai jahan nojawanon ki nai aawaz ban chuke kanhaiya kumar ka muqaabla BJP ke mutanazia bayanaat ke liye mashhoor Giri Raj singh ka muqaabla horaha hai .

Chouthay marhalay ki raye dahi ke baad BJP qaideen ko kam az kam is baat ka andaza to ho chuka hai ke guzashta intikhabaat mein Modi lehar aur wazeer e azam ke umeed waar bantay hue Modi ne  jin bade wadon ki bunyaad par awam se vote maangey they un mein kayi ahem waday poooray nah hosakay aur ab wada khalaqi ke baad shumali Hindustan  ki hindi patti ki reyaston mein na hi awam mein BJP ke liye woh josh wa-kharosh hai aur na hi Modi lehar ka koi wujood hai. BJP ki Haleef jamaaton aur Narendra Modi ko is baat ka achi tarha andaza hochuka hai ke guzashta paanch saal ki karkardagi par kisi bhi zawiye se woh awam se vote mangnay ke mustahiq nahi hain lehaza Modi aur unke humnawa oppostion par tanqeed karne ke alawa inhen Pakistan ke liye naram gosha rakhnay ka un par ilzaam lagatay hue awam ko bewaqoof bananay ki koshish kar rahay hain. apni kursi ki baqaa ke liye Modi itni nichli satah ki siyasat kar rahay hain ke unhon ne  Hindustan  ke sabiq wazraye Azam ki rivayet ko bhi todte hue shaheed fojiyoun ke naam par vote maangna shuru kiya  hai. Narendra Modi ke paas apne wada khalaqi aur mulk ko tabah karne ke baad vote mangnay ka koi mauzo hi nahi bacha hai lehaza woh Pulwama  hamlay mein shaheed honay walay sipahiyoun ke naam par siyasi rotiyan sekh rahay hain .

 

Pulwama  waqiye ko intikhabi mauzo banatay hue Modi aksar apni awaami rallies aur jalsoun mein oppostion par tanqeed kar rahay hain aur keh rahay hain ke Pakistan ke Balakot par hue fazai hamlay ke baad Congress ko takleef hui hai kyunkay congress ka vote bank Pakistan mein hai. is se nichli satah ki siyasat kiya  hosakti hai ke Modi ki janib se shaheed nojawanon ke naam par BJP ko vote dainay ka mutalba kiya  ja raha hai aur khaas kar Modi pehli martaba haq raye dahi se istifada karne walay noujawanon ko raast tor par mukhatib karte hue mutalba kar rahay hain ke woh BJP ko vote den. aisa nahi hai ke maazi mein dono parosi mumalik Hindustan  aur Pakistan ke darmiyan jung nahi hui hai lekin maazi mein aisa koi waqea nahi milta hai jahan sabiq wazraa-e-Azam ne Hind-Pak jung ko intikhabi muhim banatay hue shaheed fojiyoun ke naam par vote mangay hon .

6 mahinay qabal tak BJP ke liye koi sakht tareen hareef ya oppostion nahi tha na kisi reyasti satah par usay oppostion ka sakht tareen saamna karna pad raha tha aur na hi qaumi satah par congress itni Qawi thi ke woh sakht tareen hareef ka rule ada karti, lekin haliya assembly intikhabaat jis mein congress ne Madhy Pradesh, chateesgarh aur Rajasthan mein kamyabi haasil karte hue hindi patti se na sirf BJP ko be daakhil kiya  balkay congress ke qaumi sadar Rahul gandhi ne BJP ke sath wazeer e azam Moid ko Rafael muamlay mein bad unwaniyon GST ke naam par Hindustan  mein tijarat ko tabah karne aur crores afraad ko be-rozgaar karne aur is tarha ke ahem masail ko uthatay hue shadeed tanqeed ka nishana banaya hai jis ki wajah se congress ba-hasiat oppostion apni taaqat mein izafah kar chuki hai .

BJP ke liye halaat bad se bad tareen reyasti satah par is waqt honay lagey jab wazeer e azam Modi aur Andhra pradesh ke chief minister Chandra Babu Naidu ke darmiyan dosti khatam hui aur dekhte hi dekhte Chandra Babu Naidu ne BJP aur Modi ko apni shadeed tanqeed ka nishana banatay hue riyasat andhra pradesh se na-insafi karne ka ilzaam bhi Ayad karna shuru kya, isi douran Chandra Babu Naidu aur congress ke qaumi saddar Rahul gandhi ke darmiyan bherne wali dosti ne bhi Hindustan  mein siyasat ka ek naya manzar nama paish karna shuru kya. reyasti satah par mazboot aur aindah intikhabaat mein bhi ahem rule ada karne wali siyasi jamaaton se congress ki qurbat ne BJP ke liye masail khaday kar diye hain yahi wajah hai ke mukhtalif reyaston mein congress ne muqami siyasi jamaaton ke sath ittehaad karte hue  Modi aur BJP ko Iqtidaar se be dakhal karne ka mansoobah tayyar karte hue is par amal karna shuru kiya  .

Narendra Modi ko Iqtidaar ki kursi se be dakhal karne ke liye sab se ahem kaam BJP ko hindi patti ki reyaston se be dakhal karna tha jis ke liye Rahul gandhi ne corruption ka mauzo uthatay hue musalsal Modi aur BJP ko nishana banaya aur khaas kar un par Rafael muahiday aur Anil ambani ko faida pohanchanay ke ilzaam ke sath hukoomat ka is muamlay mein nakaam hona aisay mozuaat they jis ne congress ko hindi patti mein Iqtidaar dilwa diya hai. Rahul gandhi ki janib se chateesgarh aur Maharashtra  mein bhi BJP ke khilaaf corruption ko ahem mauzo banana sood mand saabit hua is ke alawa Rahul gandhi ne Modi ko guzashta intikhabaat mein kiye gaye apne is waday jis mein Modi ne sab ka sath sab ka vikas kaha tha is ko nishana banatay hue kaha ke Modi ke Iqtidaar mein aqlitoun ke alawa har woh shakhs nishana bana jis ne Modi ki nakami ya Modi hukoomat ke mutaliq sawal kiya  hai yahi wajah hai ke Andhra Pradesh  , Karnataka , Delhi aur maghribi bangal ke intikhabaat ke douran awam ko yeh wazeh pegham pouncha hai Modi hukoomat har is aawaz ko daba dena chahti hai jo unke khilaaf uthti hai ya un ki karkardagi par sawal uthati hai .

2014 ke baraks is martaba parlimani intikhabaat mein BJP ke liye halaat mushkil tareen dikhayi day rahay hain guzashta intikhabaat mein BJP ne hindi patti ki 71 nishistoun mein 45 nishistein –apne naam ki thi jis mein Rajasthan ke tamam 13 nishistoun par sad feesad kamyabi, Uttar pardesh ki 13 nishistoun mein 12 nishistoun par kamyabi, Madhya pradesh ki 6 nishistoun mein 5? futuhat , Bihar ki 5? nishistoun mein 3 nishistoun par kamyabi, Jharkhand ki 3 nishistoun par sad feesad kamyabi, Maharashtra  ki 17 nishistoun mein 8 nishistoun par kamyabi aur maghribi bangal ki 8 nishistoun par ek kamyabi haasil ki thi. baad azan Bihar ka siyasi manzar tabdeel hua jahan 2014 mein JDU jo is waqt hai BJP ki mukhalif thi lekin chand dinon baad is ne BJP ke sath ittehaad karliya. congress ab Maharasthra mein filmi adakara urmila matondkar aur Priya Dutt se umeeden wabsta kar chuki hai aur usay umeed hai ke woh dobarah Mumbai mein apne qadam mazboot karte hue yahan se bhi BJP ko be dakhal karne mein kamyaab hojayegi .

BJP ke khilaaf Mumbai mein ek dilchasp tabdeeli bhi dekhnay mein aa rahi hai kyunkay 2014 mein Maharashtra mein Modi lehar moujood thi aur Maharashtra  no nirmaan sena ke sadar Raj Thackeray jinhon ne guzashta intikhabaat mein BJP aur Modi ki haq mein intikhabi muhim ko taqwiyat di thi lekin ab woh khud Modi aur BJP ko shadeed nishana bananay ke alawa awam se appeal kar rahay hain ke woh barsar Iqtidaar afraad ko apni himayat nah day. Raj Thackeray ne apne haliya bayanaat mein awam se wazeh alfaaz mein kaha hai ke Modi ne jo 2014 mein waday kiye they is mein woh na kaam ho chuke hain. Thackeray ne Modi par ilzaam Ayad karte hue kaha kay woh jhoot bolnay aur jhutay propagandah karne mein maahir hain aur guzashta paanch saal se woh yahi kar rahay hain lehaza awam ko chahiye ke woh inhen is martaba sabaq sikhayin. Thackeray se jab sawal kiya  gaya ke Modi ki mukhalfat se congress ko faida hoga to unhon ne wazeh jawab diya ke unke bayan se agar congress ko faida hota hai to honay degiye kyunkay Modi apne wadon mein nakaam ho chukay hain lehaza awam ko chahiye ke woh inhen sabaq sikhayein .

2014 ke intikhabaat mein 55 crore Hindustaniyoun ne jo ke 66.3 feesad awam hotay hain, unhon ne haq raye dahi se istifada kiya  tha jis mein 30 feesad se kuch ziyada afraad ne BJP ke haq mein vote diya tha jis ke qayadat Modi kar rahay they. jinhon ne kayi ek ahem aur bade wadon ke alawa sab ka sath sab ka vikas ke naam par Hindustan  ko taraqqi ki raah par gaamzan karne ka jo mauzo apnaya tha is ne sabhi ko mutasir kiya  tha lekin guzashta paanch saal ke douran koi bhi bada wada poora nahi hua aur maeeshat tabah honay ke alawa rozgaar ke mawaqay mukammal tabah hogaye aur is martaba 18 taa 19 saal ke nojawan jo pehli martaba haq raye dahi se istifada kar rahay hain unki tadaad 1.5 crore hai jinhon ne guzashta chand barson ke douran hukoomat ki karkardagi aur khaas kar mulazimtoun ki farahmi ka qareeb se jaiza liya hai. unke vote bhi ahmiyat ke haamil honge jinhon ne haq raye dahi se istifada se qabal chand barson mein apne shaoor ke mutabiq hukoomat ki karkardagi ka qareeb se jaiza liya hai un tamam halaat mein tajzia nigaron ke zawiye se agar nateeja akhaz kiya  jaye to andaza ho raha hai ke Hindustan  shayad ek mu-alliq hukoomat ki simt gaamzan hai. –YTN STAFF