Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaHindustan Mein Sheroun Ki Tadaad 3000 Tak Pohanch Gayi

Hindustan Mein Sheroun Ki Tadaad 3000 Tak Pohanch Gayi

New Delhi: Hindustan ke mukhtalif mehfooz ilaqoun mein Sheroun ki tadaad 1400 se badh kar taqreeban 3000 hogayi hai jo duniya mein Sheroun ki sab se ziyada tadaad hai. Sheroun ki tadaad ke chouthay survey , all India Tigers assessment 2018 ke mutabiq Hindustan mein sher ki  tadaad 2977 darj ki gayi hai. saal 2014 mein mulk mein 1400 sher the. yeh survey  aalmi yom –e-sher ke mauqa par yahan jari kiya aur usay tareekhi qarar diya.

Sheroun ki tadaad ke mutabiq Madhya pradesh mein sab se ziyada 526 sher hain jabkay 524 sheroun ki tadadad ke sath karnatak dosray maqam par hai. Uttarkhand mein 442 sher hai jo teesray maqam par hai. Sheroun ke liye mehfooz ilaqoun ki tadaad saal 2014 ke 692 ke muqablay mein saal 2019 tak 860 hogayi hai. community ke zareya mehfooz ilaqay saal 2014 mein 43 se badh kar 2019 tak 100 se ziyada hogaye hain.

Yeh shandaar survey teen laakh 80 hazaar murabba kilometer ilaqay may kia gaya aur hukkaam ne 5 laakh 20 hazar kim paidal yatra ki . survey mein 26 hazar camera tape tayar kiye gay. Sheroun ke survey  ke liye 3 laakh 50 hazar photo liye gay jin mein 76 hazaar Sheroun ke photo thy. Sheroun ki ginti har char sal mein ki jati hai. pehli martaba yeh ginti 2006 mein ki gayi thi. iske baad 2010 aur phir 2014 may kee gayi thi.

wazeer-e- azam Narendra  Modi ne aalmi yom-e-sher par mulk mein Sheroun ke tahaffuz ke liye apni hukoomat ke pur azm honay kaa izhar kiya. Modi ne aalmi yom sher par aal India tiger assessment 2018 ko jari karte hue kaha aaj hum sheroun ki tahaffuz ke liye apne azm ka izhaar karte hain. Sheroun ki ginti ki nateeja har hindustani ko khush karenge. unhon ne kaha ke nou saal pehlay senate parts bagh mein saal 2022 tak Sheroun ki tadaad ko dugna karne ka maqsad poora karne ka faisla kiya gya tha.

Modi ne programme se khitaab karte hue kaha aaj hum fakhr se keh sakte hain ke Hindustan mein taqreeban 3000 sher hain jo sheroun ki sab se badi tadaad mein se ek hai aur sheroun ke liye mulk sab se mehfooz hai. wazeer-e-azam ne mulk mein Sheroun ke tahaffuz ko farogh dainay ki koshish par zor dete hue kaha, is shoba se munsalik afraad se yeh kehna chahta hon ke ek tha tiger se shuru hui kahani ko tiger zindah hai tak pohanchanay ke liye musalsal koshan rehna chahiye. Sheroun ke tahaffuz ki koshisho ki towsee ki jani chahiye. unki raftaar ko mazeed tez kiya jana chahiye. –YTN STAFF