Saturday, October 12, 2024
HomeIndiaHindustan mein rozana ausatan 77 khawateen ismat rezi ka shikar hoti hain

Hindustan mein rozana ausatan 77 khawateen ismat rezi ka shikar hoti hain

New Delhi: Hindustan mein rozana ausatan 77 khawateen ismat rezi ka shikar hoti hain jabke 80 afraad ka qatl kar diya jaata hai. National crime records bureau (NCRB) jo markazi vizarat daqela ke tehat kaam karta hain uski jaanib se jaari kardah taaza aadaad o shumaar mein is baat ka tazkira kiya gaya hain. Tafseelat ke ba maujib 2020 mein mulk bhar mein rozana ausatan ismat rezi ke taqreeban 77 waqiaat report huwe is tarha ke saal bhar mein 28,046 khawateen ismat rezi ka shikar huwi hain.

NCRB ke aadaad o shumaar se pata chalta hai ke gujishta saal pure Hindustan mein khawateen ke khilaf jarayem ke 3,71,503 waqiaat report huwe jo 2019 mein 4,05,326 aur 2018 mein 3,78,236 the. Aadaad o shumaar mein mazeed kaha gaya hain ke 2020 mein khawateen ke khilaf jarayem ke jumla muqadmat 28,153 darj huwe hain jin mein se bhi ismat rezi ke 28,046 waqiaat huwe ki report ke mutabiq jumla ismat rezi ke jumla mutasireen mein se 25,498 baalig the jabke 2,655 18 saal se kam umer ki ladkiya hain.

CRB ke aadaad o shumaar ke mutabiq jisne covid 19 phailne aur wabai amraz se mutasira lockdown ka mushahida kiya is ke baujood khawateen ke khilaf ismat rezi ke muqadmat ki darj shuda tetaad tashweesh nak hain…NCRB ke aadaad o shumaar ke mutabiq gujishta barson mein ismat rezi ke waqiyat ki tetaad 2019 mein 32,033 2018 mein 33,356 2017 mein 32,559 aur 2016 mein 38,947 rahi sab se zyada ismat rezi ke muqadmat Rajistan (5,310) mein darj huwe uske baad Utter Pradesh (2,769) Madhya Pradesh (2,339) Maharashtra (2,061) aur asam (1,657) mein darj huwe. NCRB ki taraf se jaari kardah aadaad o shumaar jo ke indian panel court (IPC) aur mulk ke khusoosi aur muqaami qawaneen ke mutabiq jarayem ke aadaad o shumaar ko jamaa karne aur tajziya karne ke liye zimmedar hain. Ne dikhaya ke delhi ne saal ke dauran aise 997 muqadmat darj kiye.

Aadaad o shumaar se yeh bhi pata chalta hai ke 2020 mein khawateen ke khilaf hone wale jarayem mein se zyada se zyada 1,11,549 shohar ya rishtedaro ki taraf se zulm ke zumre mein the jabke agwaa ke 62,300 waqiaat the. NCRB ke aadaad o shumaar se pata chalta hai ke ismat ke khilaf hamla karne ke 85,392 aur ismat dari ke alawa ismat rezi ki koshish ke 3,741 waqiaat darj huwe hain. Iske alawa aadaad o shumaar se yeh bhi pata chalta hai ke mulk mein saal 2020 mein jahez ki maut ke 7,045 mutasireen ke saath 6,966 muqadmat darj huwe hain.