Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsHindustan mein nasal kashi ki tayari jari : Dr Gregory Stanton

Hindustan mein nasal kashi ki tayari jari : Dr Gregory Stanton

Washinton DC: US professor Dr Gregory Stanton ne 12 Secemeber ko Washinton DC mein Kashmir aur NRC ke baray mein ek mukhtasir report mein congress aur sarkari ohdedaroun ke ijlaas se khitaab kiya, Jahan unhoun ne kaha ke ”Hindustan mein nasal kashi ki tayyariyan yakeeni tor par jari hain. Aur Kashmir mein musalmanoun par zulm-o-sitam ”nasal kashi se ain qabal ka ek marhalla hai“. Agla marhala tabahi hai, Jisay hum nasal kashi kehte hin“.

Dr Stanton ne 1996 mein jab wahan kaam kiya to Americi mehakma e kharja mein peshi ke tor par aalmi satah par ”Nasal kashi ke das marahel  taklek kiye. Dr Stanton ke mutabiq nasal kashi ke das marahil is terhan hain.

Pehla marhal”  Hamba muqabla’ Inka Bandi tha“.

Dosra Marhala ”Aalamat “nai mutasirah afraad ka naam ”Ghir mulki“ Rakha.

* Teesra Marhala ”Emtiyazi sulook “Tabqati ( Shikaar ) Shehriat ke liye qubool shuda group se bahar ”Taake unkay paas ”Shehirioun ke insani haqooq ya shehri haqooq “na hona aur unke sath qanooni tor par imtiazi sulooq kiya jaye“.

* Choutha marhala ” Dehumanisation “ jab nasal kashi sarpal neechay ki taraf jana shuru hota hai. Aap dosaroun ko kisi had tak kharab honay ki darjaa bandi karte hain. Aap inhen dehshat gardoun ya janwaroun ke naam bhi dete hain, Jismani siyasat mein inhen cancer ki hesiyat se hawala dena shuru kar te hain, Aap un ke baray mein ek bemari ke tor par baat karte hain.

* Panchawan Marhala is qatal-e-aam ko anjaam dainay ke liye ek ”Tanzeem“ tashkeel di gayi ”Kashmir mein hindustani fouj aur Assam mein mardum shumari karne waloun ne kirdaar ada kiya.

* Chhatta Marhala ” polarisation “Tha, Jo tashheer ke zareya hasil kiya ja taa hai.

* Satwaan marhala ”Tayyari “Tha.

* Aathwan ”Zulm-o-Zetam “Jaha mojooda mein Assam aur Kashmir they.

* Nawan Marhala ”Jela watan aur

* Saswaan Marhala ”Inkaar“ hai.

Dr Stanton ne aqwam mutahidda ki salamti council ki qarardadoun ka musevida bhi tayyar kiya, Jis se Rwanda aur Burundi commission of enquiry par ek bain-ul-aqwami fouj daari tribunal tashkeel diya gaya, Jahan ye qatal aam 2 jaghoun par huwa tha. Bain-ul-aqwami anjuman baraye nasal kashi Scholers ke ek sabiq sader.

, Burundi  aur Rwanda aur Rohingya mein nasal kashi ke barey mein unki tahaqeeq ko duniya bhar mein pehchana jata hai.

Cheif justice ke secretary aur insani haqooq ki muhaffic Teesta Setalvad ne bhi video conferencing ke zarye zarieen se khitaab karte hue kaha ke Assam mein shehrioun ke qaumi Register ( NRC ) ko insani haqooq ki pamali ke liye istemaal kiya ja raha hai. Setalvad ne bhi shehriat tarmeemi act par tanqeed karte hue kaha ke is se buneadi aur na qabil talaafi jamhooria hind ki noiyat ko nuqsaan puhanche ga. Wo hukoomat se mutalba karte hain ke wo aeen ke sath ghaddari na kere.

Jammu o Kashmir se talluq rakhnay walay ek sahafi. Raqeeb Hamid ne kaha ke Kashmir mein jari Lockout guzashta dahai mein bad tareen muhasra tha. Hindustani hukoomat ka daawa hai ke 5 August  se hindustani fojioun ne kisi kashmiri ko nahi mara. Unhoun ne kaha mai ne usay record mein laya, Ab tak hum Security forces ke zareya 5 qatloon ki maloomat akhatta karne mein kamyaab rahay hain. Ye tadaad ziyada hosakti hai, Lekin muwasilat ki naka bandi aur press ki naqal-o-harkat par sakht pabandioun ki wajah se hum waadi ke mukhtalif hisson se durust adaad-o-shumaar haasil nahi kar sakay.

Is congress ki breifing ka ineqad America mein muqeem soul society ki 3 tanzeemoun, Yani hindustani Americi muslim council ( IAMC ), Emgage Action aur Hindu haqooq baraye hinduo ( HFHR ) ne kiya tha. –YTN STAFF