Friday, May 17, 2024
HomeOthersBusinessHindustan mein mehengai mein mazeed izafah ka khadsha

Hindustan mein mehengai mein mazeed izafah ka khadsha

New Delhi : Rawan saal Hindustan  mein lok sabha intikhabaat horahe hain aur intikhabaat ka raast assar mulk  ki maeeshat par bhi pade ga taham aqwam-e-mutahidda ki taaza tareen report housla Afza hai. Aqwam-e-mutahidda ke Asia Pacific iqtisadi wo samaji commission nay rawan maali saal mein Hindustan  ki taraqqi ki sharah badh kar 7.5 feesad par pahonch jany ka imkan zahir kiya hai. Asia pacific iqtisadi wo samaji surway 2019 mein kaha gaya hai ke guzashta 31 March ko khatam honay walay maali saal 2018-19 mein mulk   ki mutawaqqa sharah taraqqi 7. 2 feesad rahi hai jis ke rawan maali saal mein 7.5 feesad par pahonch jane ki umeed hai.

Maali saal 2020-21 mein is ke 7.6 feesad rehne ke imkaan ka izhaar kiya gaya hai. surway mein taraqqi ki sharah ke sath mulk mein ousat khorda mehengai ke bhi badne ka khadsha hai. is surway mein kaha gaya hai ke guzashta maali saal mein 3.3 feesad par rehne wali mehengai ki sharah rawan maali saal mein badh kar 4. 5? feesad aur aglay maali saal mein 4.6 feesad par pahonch jayegi .

Surway mein kaha gaya hai ke poooray Asia pacific ilaqay mein majmoi tor par iqtisadi manzar nama mustahkam aur mehengai ki sharah nisbatan kam rahay gi. Aqwam-e-mutahidda. ASKIP ke junoob aur junoob mashriqi Asia ke director Dr Nagesh Kumar nay kaha ke Hindustan   aur Bangladesh ki saat feesad se ziyada ki sharah se taraqqi karne ki wajah se is ilaqay mein junoobi Asia ki taraqqi ki sharah sab se ziyada rahay gi. is ilaqay mein kaam karne ki Umar walay mulazmeen ki tadaad mein taizi se izafah ko dekhte hue achay rozgaar ki zaroorat hai .- YTN STAFF