Tuesday, May 7, 2024
HomeExclusiveHindustan mein jamhoriat aur secularism ko bachane ke liye votes ki katoti...

Hindustan mein jamhoriat aur secularism ko bachane ke liye votes ki katoti ko rokna na-guzeir

Mumbai : In dinoun Hindustan hi nahi balkay saari duniya ki nazrain Maharashtra assembly par markooz hain kyunkay yahan BJP aur uski Haleef jamaat Shiv sena mein Iqtidaar ki rassa kashi chal rahi hai aur haliya barsoun mein aisa pehli martaba dekha jaraha hai ke Haleef jamaaton mein hi Iqtidaar ki kursi ke liye khincha tani chal rahi hai iski asal wajah intikhabaat mein BJP ko nuqsaan aur Shiv sena ka behtar muzahira hai.

Intikhabaat se qabal BJP ko yeh umeed thi ke maazi ke bar-aks is ka muzahira mazeed shandaar hoga lekin nataij ne is ke khwaboun ke qilah ko gira diya hai. hindustani jamhoori nizaam ki ek sab se badi khoobi ye bhi hai ke jo party apne mukhalif partiyon ke jis qadar vote taqseem karwane mein kamyaab hojaye, nataij ka iske haq mein aanay ka imkaan itna hi quwat hojata hai. Maharashtra ke assembly intikhabaat ke nataij ko hi dekh len jahan BJP ko bal-tarteeb 25.6 feesad vote miley, is ke bawajood un dono reyaston mein aaj woh hukoomat saazi kar rahi hai.

Is vote sharing ka saaf matlab yeh hua ke un dono reyaston ki 75 aur 64 feesad awam ne BJP ko vote nahi diya lekin is jamhoori khoobi ka kiya kiya jaye ke un dono reyaston mein BJP 100 feesad awam par hukmarani karegi. hona to yeh chahiye ke vote sharing ke hisaab se har party ko hukoomat saazi ka mauqa milta lekin agar aisa hojaye to phir hamaray pradhan sevak jee mulk ke siwa 100 crore awam ke Wazeer-e-Azam kaisay kehlayenge? is liye hamaray is jamhoori nizaam mein mauqa parasti ki siyasat is qader aayi hai ke ab iske baghair siyasat ka koi tasawwur hi nahi reh gaya hai, balkay ab yeh ek khoobi ban gayi hai.

Isi khoobi ki binaa par kuch log usay chankih niyati bhi kehte hain, jiska copyright guzashta 5 saloun se Amit Shah jee ke paas hai. lekin is mauqa parasti ki siyasat mein jitni ahmiyat intikhab jeet kar hukoomat saazi karne wali partiyon ki hoti hai, itni hi ya is se kahin ziyada ahmiyat un partiyon ki bhi hoti hai jo hukmuran jamaaton se moahida lekar votes ki taqseem ka karhaye numaya anjaam deti hain.

Maharashtra mein iski misaal AIMIM aur vanchit bahujan aghadi ke kirdaar se bakhoobi lagaya jasakta hai, jis mein awal zikar ne 44 halqon par apne umeed waar khadey karkay do seats haasil kee aur 40 par secular votes ko taqseem karkay BJP aur Shiv sena ittehaad ko faida pohanchaya. jabkay Bahujan aghadi ne 280 mein se 274 par apne umeed waar khadey kiye aur ek bhi seat haasil na karte hue congress aur iske ittihadi partiyon ke votes ko taqseem kiya. un votes ke taqseem se riyasat mein congress ko 12 aur NCP ko 11 yani ke 23 seats ka nuqsaan hau. agar un seats par secular vote taqseem nahi hotay to 106 seats jeetnay wali congress aur is ki ittihadi partiyon ki seats 129 taq pohanch jatein aur aaj Maharashtra ki siyasi soorat-e-haal kuch mukhtalif hoti.

Jabkay 25 azad arkanِ-e-assembly mein se 10 ne nataij anay ke baad hi congress wo NCP ki himayat ke liye tayyar hogaye they. parlimani election mein bhi aisa hi hua tha ke VBA ne congress NCP ko 11 seats par nuqsaan pohanchaya tha. votes ki taqseem wali mauqa parasti ki is siyasat se paday agar nataij ke majmoi soorat-e-haal par ghour kiya jaye to Maharashtra ke intikhabi siyasat ki tareekh mein ghaliban yeh pehla intikhab hai jiske nataij se intikhabaat mein hissa lene wali taqreeban tamam partiyan khush hain. BJP is liye khush hai ke woh riyasat mein sab se badi party bankar ubhri hai aur Shiv sena ki madad se hukoomat saazi kar rahi hai.

Shiv sena is liye khush hai ke BJP ki seats kam hui hain aur hukoomat saazi ke liye iski ahmiyat badh gayi hai neez woh BJP se naye suray se saudey baazi ke muaqqaf mein aagai hai. congress is liye khush hai ke BJP wo shiv sena ke tamam harbon ke bawajood isne apni seats mein izafah karliya hai, jabkay cheif minister fednavis ne congress ke baray mein yahan tak keh diya tha ke intikhab ke baad riyasat se opposition khatam hojayega. NCP is liye khush hai ke usay mukammal tor par khatam karne ki koshisho ke bawajood woh na sirf dobarah poori tawanai ke sath khadi hui balkay apni seats mein darjan bhar ka izafah bhi karliya, jabkay is ke kayi ahem leaders party chodh kar BJP wo shiv sena mein shaamil hogaye they.

AIMIM is liye khush hai ke is ke 2 arkaan ki tadaad barqarar rahi. VBA is liye khush hai ke woh secular votes ko taqseem karkay BJP wo Shiv sena ki raah ko hamwar karne ki apni koshish mein kamyaab rahi. MNS is liye khush hai ke iska ek rukan-e-assembly pohanch gaya jo sifar par thi aur un tamam partiyon ki khoshion ke nateejay mein election commission bhi khush hai ke is martaba kisi bhi party ne EVM ki hacking ka ilzaam nahi lagaya.

Goya Maharashtra assembly ka yeh election sabhi ke liye khusihyan lekar aaya aur sabhi apne apne tor par is ka izhaar bhi kar rahay hain. Maharashtra mein fil-waqt hukoomat saazi mein waqt hai. BJP ne jahan Shiv sena ko apna ittihadi batatay hue hukoomat bananay ka daawa kiya hai to wahein Shiv sena ne muahiday ke mutabiq dhai saal baad apna chief minister bananay ki Amit Shah se tehreeri mutalba kiya hai. Deegar soorat mein is ne apne liye mazeed imkanaat khulay honay ki baat bhi kahi hai jo is janib ishara hai ke woh NCP wo Shiv sena ke sath mil kar riyasat mein hukoomat banasakti hai. jabkay qaiday ke mutabiq hona to yeh chahiye tha ke Shiv sena qabal az intikhabaat muahiday ke tehat faisla karti, lekin agar aisa hojaye to phir yeh siyasat hi kyun kehlaye lekin Maharashtra ke is intikhab se yeh baat to zaroor qabil-e-tasleem hogayi ke BJP na-qabil shikat nahi hai.

Iski kamyabi AIMIM wo VBA jaisi partiyon ki marhonِ minnat hai jo secular votes ke taqseem se isko faida pohanchati hain. Maharashtra mein is martaba BJP ke khilaaf narazgi khoob thi. yeh narazgi ED aur CBI ke siyasi istemaal aur awam ke bunyadi masail se chasham poshi karne ka nateeja thi. awam ko BJP ki aamriyat bilkul pasand nahi aayi aur votes ki taqseem ke tamam harbon ke bawajud iski seats kam hogai. isse andaza hota hai ke 2024 mein congress wo NCP dobarah Iqtidaar mein askati hain lekin is waqt taq congress wo NCP ko secular votes ki taqseem roknay ka formula tayyar karna hoga. –YTN STAFF