Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadHindustan Mein Engineering Colleges Ka Bohraan, 1.6 Nishistein Khatam Kar...

Hindustan Mein Engineering Colleges Ka Bohraan, 1.6 Nishistein Khatam Kar Di Gayeen

Hyderabad: Engineering colleges ke mutaliq aaye din manfi khabrein padhnay ko mil rahi hain lekin is martaba to Hindustan  mein engineering collegeon ka bohraan manzar-e-aam par aa chuka hai kyunkay all India council for technical Education ( AICTE ) ny 1.26 laakh engineering nishistoun ko PG aur UG  courses mein khatam kar diya hai jis ka matlab yeh hai ke collegeon mein taqreeban 50% nishistein  khatam kar di gayi hain kyunkay kayi aisay colleges moujood hain jinhon ne guzashta paanch barson ke douran dakhlon ki kam se kam miqdaar 30 feesad ke pemanay ko bhi poora nahi kya hai. un halaat mein AICTE ne Hindustan  ki mukhtalif reyaston mein engineering collegeon mein ya to mukammal college ko hi band kardiya hai ya phir collegeon mein nishiston ki tadaad kam kar di hai .

Hindustan  mein engineering ke bohraan ka tashweesh-naak pehlu yeh bhi hai ke AICTE ko 226 collegeon ki janib se aisi darkhwasten masool hui hain jis mein unhon ne apne college ko band karne ki darkhwast di hai. collegeon mein bohraan ki teen wajohaat manzar aam par aayi hain. Hindustan  bhar mein ab jabkay 1.5 laakh engineering nishistein  khatam kar di jarahi hain iski 3 wajohaat mein sab se pehli wajah collegeon mein kam se kam 30 feesad dakhlay bhi nahi ho pa rahay hain jabkay doosri wajah khud college ki janib se taleemi markaz ko mukammal band kar dainay ki appeal ki gayi hai jabkay teesri ahem wajah collegeon mein munasib anfrastrkchr aur asatezah ki Adam dasteyabi hai .

Tafseelaat ke mutabiq Hindustan  bhar mein 2214 colleges mein 1.20 laakh nishistein  kam kar di gayi hain kyunkay un collegeon mein dakhlay ki kam az kam miqdaar 30 feesad ka pemana bhi mukammal nahi ho paaya hai rawan taleemi saal 207 colleges ki janib se 8 hazaar se zayed nishiston ki Musalmah hesiyat ke liye bhi darkhwasten masool nahi hui hain. Hindustan  mein engineering collegeon ke bohraan ke mutaliq izhaar-e-khayaal karte hue AICT ke chairman Aneel  sara boday ne kaha hai ke engineering collegeon mein lakhoon nishistein  khatam honay ki teen wajohaat hain sab se pehlay to har college mein kam az kam dakhlon ki jo shart rakhi gayi hai woh shart darjanon colleges poori karne mein nakaam hai .

Guzashta 5 barson se senkdoun aisay colleges hain jinhon ne 30 feesad ki dakhlon ki kam se kam shart ko poora nahi kiya hai. jabkay doosri ahem wajah yeh hai ke kayi collegeon ke intizamia ne khud taleemi masrofiyat khatam kar dainay ki darkhwast di hai. jabkay teesri ahem wajah collegeon mein matlooba infrastructure aur ahal asatezah dastyab nahi hain jis ke baais is saal engineering ke alawa pharmacy, arts, craft, management, hotel management aur architecture ke collegeon mein bhi nishiston ki tadaad kam kar di gayi hai. jahan ek janib Hindustan  bhar mein engineering collegeon mein nishiston ki kami aur kayi collegeon ke band honay ka masla darpaish hai to isi douran 88 naye taleemi idaron ko AICTE ki janib se manzoori di gayi hai jis ki wajah se 39198 nai nishistein  faraham hui hain un mein Tamilnadu sab se agay hai jahan 15 naye collegeon ko manzoori mili hai jis mein 5849 nishistein  dastiyab hui hain . –YTN STAFF